Bashir Badr

Mujh Se Bichhar Ke Khush Rehte Ho – Bashir Badr

Mujh Se Bichhar Ke Khush Rehte Ho

Bashir Badr Poetry

 

Mujh Se Bichhar Ke Khush Rehte Ho
Meri Tarah Tum Bhi Jhootay Ho

Ek Deewar Pe Chaand Tika Tha
Main Yeh Samjha Tum Baithay Ho

Ujlay Ujlay Phool Khilay Thay
Bilkul Jaise Tum Hanstay Ho

Mujh Ko Shaam Bata Deti Hai
Tum Kaisay Kapray Pehnay Ho

Dil Ka Haal Parha Chehray Se
Saahil Se Lehrain Gintay Ho

Tum Tanha Duniya Se Laroge
Bachon Si Baatain Kartay Ho

مجھ سے بچھڑ کے خوش رہتے ہو
میری طرح تم بھی جھوٹے ہو

اک دیوار پہ چاند ٹکا تھا
میں یہ سمجھا تم بیٹھے ہو

اجلے اجلے پھول کھلے تھے
بالکل جیسے تم ہنستے ہو

مجھ کو شام بتا دیتی ہے
تم کیسے کپڑے پہنے ہو

دل کا حال پڑھا چہرے سے
ساحل سے لہریں گنتے ہو

تم تنہا دنیا سے لڑو گے
بچوں سی باتیں کرتے ہو

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *