
Dushmanon Ne Jo Dushmani Ki Hai
Poet: Habib Jalib
Dushmanon Ne Jo Dushmani Ki Hai
Doston Ne Bhi Kya Kami Ki Hai
Khamoshi Par Hain Log Zair-E-Itaab
Aur Hum Ne To Baat Bhi Ki Hai
Mutma’in Hai Zameer To Apna
Baat Saari Zameer Hi Ki Hai
Apni To Daastan Hai Bas Itni
Gham Uthaye Hain Shaayari Ki Hai
Ab Nazar Mein Nahin Hai Ek Hi Phool
Fikr Hum Ko Kali Kali Ki Hai
Paa Saken Ge Na Umar Bhar Jis Ko
Justuju Aaj Bhi Usi Ki Hai
Jab Meh-O-Mehr Bujh Gaye Jaalib
Hum Ne Ashkon Se Roshni Ki Hai
دشمنوں نے جو دشمنی کی ہے
دوستوں نے بھی کیا کمی کی ہے
خامشی پر ہیں لوگ زیر عتاب
اور ہم نے تو بات بھی کی ہے
مطمئن ہے ضمیر تو اپنا
بات ساری ضمیر ہی کی ہے
اپنی تو داستاں ہے بس اتنی
غم اٹھائے ہیں شاعری کی ہے
اب نظر میں نہیں ہے ایک ہی پھول
فکر ہم کو کلی کلی کی ہے
پا سکیں گے نہ عمر بھر جس کو
جستجو آج بھی اسی کی ہے
جب مہ و مہر بجھ گئے جالبؔ
ہم نے اشکوں سے روشنی کی ہے