
Har Zulm Tera Yaad Hai Bhoola To Nahin Hoon
Poet: Aftab Muztar
Har Zulm Tera Yaad Hai Bhoola To Nahin Hoon
Ae Wada-Faramosh Main Tujh Sa To Nahin Hoon
Ae Waqt Mitana Mujhe Aasaan Nahin Hai
Insaan Hoon Koi Naqsh-e-Kaf Pa To Nahin Hoon
Chup Chaap Sahi Maslahan Waqt Ke Haathon
Majboor Sahi Waqt Se Hara To Nahin Hoon
Yeh Din To Mujhe Un Ke Taghaful Ne Dikhaye
Main Gardish-e-Dawraan Tera Maara To Nahin Hoon
Un Ke Liye Larr Jaonga Taqdeer Mein Tujh Se
Haalaanke Kabhi Tujh Se Main Uljha To Nahin Hoon
Sahil Pe Kharray Ho Tumhein Kya Gham Chalay Jana
Main Doob Raha Hoon Abhi Doba To Nahin Hoon
Kyun Shoor Bapa Hai Zara Dekho To Nikal Kar
Main Us Ki Gali Se Abhi Guzra To Nahin Hoon
Muztar Mujhse Kyu Dekhta Rehta Hai Zamaana
Deewana Sahi Un Ka Tamasha To Nahin Hoon
ہر ظلم ترا یاد ہے بھولا تو نہیں ہوں
اے وعدہ فراموش میں تجھ سا تو نہیں ہوں
اے وقت مٹانا مجھے آسان نہیں ہے
انساں ہوں کوئی نقش کف پا تو نہیں ہوں
چپ چاپ سہی مصلحتاً وقت کے ہاتھوں
مجبور سہی وقت سے ہارا تو نہیں ہوں
یہ دن تو مجھے ان کے تغافل نے دکھائے
میں گردش دوراں ترا مارا تو نہیں ہوں
ان کے لیے لڑ جاؤں گا تقدیر میں تجھ سے
حالانکہ کبھی تجھ سے میں الجھا تو نہیں ہوں
ساحل پہ کھڑے ہو تمہیں کیا غم چلے جانا
میں ڈوب رہا ہوں ابھی ڈوبا تو نہیں ہوں
کیوں شور بپا ہے ذرا دیکھو تو نکل کر
میں اس کی گلی سے ابھی گزرا تو نہیں ہوں
مضطرؔ مجھے کیوں دیکھتا رہتا ہے زمانہ
دیوانہ سہی ان کا تماشا تو نہیں ہوں