
Aakhir Woh Mere Qad Ki Bhi Had Se Guzar Gaya
Aakhir Woh Mere Qad Ki Bhi Had Se Guzar Gaya
Kal Shaam Main To Apne Hi Saaye Se Dar Gaya
Mutthi Mein Band Kiya Hua Bachon Ke Khel Mein
Jugnu Ke Saath Us Ka Ujaala Bhi Mar Gaya
Kuch Hi Baras Ke Baad To Us Se Mila Tha Main
Dekha Jo Mera Aks To Aaina Dar Gaya
Aisa Nahin Ke Gham Ne Badha Li Ho Apni Umar
Mausam Khushi Ka Waqt Se Pehle Guzar Gaya
Likhna Mere Mazaar Ke Katbe Pe Yeh Huroof
“Marhoom Zindagi Ki Hiraasat Mein Mar Gaya”
آخر وہ میرے قد کی بھی حد سے گزر گیا
کل شام میں تو اپنے ہی سائے سے ڈر گیا
مٹھی میں بند کیا ہوا بچوں کے کھیل میں
جگنو کے ساتھ اس کا اجالا بھی مر گیا
کچھ ہی برس کے بعد تو اس سے ملا تھا میں
دیکھا جو میرا عکس تو آئینہ ڈر گیا
ایسا نہیں کہ غم نے بڑھا لی ہو اپنی عمر
موسم خوشی کا وقت سے پہلے گزر گیا
لکھنا مرے مزار کے کتبے پہ یہ حروف
“مرحوم زندگی کی حراست میں مر گیا”
قتیل شفائی