
Ajnabi Pedon Ke Saaye Mein Mohabbat Hai Bahut
— Bashir Badr
Ajnabi Pedon Ke Saaye Mein Mohabbat Hai Bahut
Ghar Se Niklo To Yeh Duniya Khubsurat Hai Bahut
Raat Taaron Se Uljh Sakti Hai Zarron Se Nahin
Raat Ko Maloom Hai Jugnu Mein Himmat Hai Bahut
Sach Siyasat Se Adalat Tak Bahut Masroof Hai
Jhoot Bolo, Jhoot Mein Ab Bhi Mohabbat Hai Bahut
Kis Liye Hum Dil Jalayein, Raat Din Mehnat Karein
Kya Zamana Hai, Bure Logon Ki Izzat Hai Bahut
Hum Kahin Jaate Nahin, Ahbab Bhi Aate Nahin
In Dinon Aa Jaiye, Fursat Hi Fursat Hai Bahut
Saat Sandookon Mein Bhar Kar Dafan Kar Do Nafratein
Aaj Insaan Ko Mohabbat Ki Zarurat Hai Bahut
Mukhtasir Baatein Karo, Beja Wazahat Mat Karo
Yeh Nayi Duniya Hai, Bachon Mein Hai Zehant Hai Bahut
اجنبی پیڑوں کے سائے میں محبت ہے بہت
گھر سے نکلو تو یہ دنیا خوبصورت ہے بہت
رات تاروں سے الجھ سکتی ہے ذروں سے نہیں
رات کو معلوم ہے جگنو میں ہمت ہے بہت
سچ سیاست سے عدالت تک بہت مصروف ہے
جھوٹ بولو، جھوٹ میں اب بھی محبت ہے بہت
کس لیے ہم دل جلائیں، رات دن محنت کریں
کیا زمانہ ہے برے لو گوں کی عزت ہے بہت
ہم کہیں جاتے نہیں، احباب بھی آتے نہیں
ان دنوں آ جائیے فرصت ہی فرصت ہے بہت
سات صندوقوں میں بھر کر دفن کر دو نفرتیں
آج انسان کو محبت کی ضرورت ہے بہت
مختصر باتیں کرو، بے جا وضاحت مت کرو
یہ نئی دنیا ہے بچوں میں ہے ذہانت ہے بہت
بشیر بدر