
Mushkil Hai Ke Ab Sheher Mein Nikle Koi Ghar Se
Parveen Shakir
Mushkil Hai Ke Ab Sheher Mein Nikle Koi Ghar Se
Dastaar Pe Baat Aa Gayi Hoti Hui Sar Se
Barsa Bhi To Kis Dasht Ke Be-Faiz Badan Par
Ek Umar Mere Khet The Jis Abar Ko Tarse
Kal Raat Jo Eendhan Ke Liye Kat Ke Gira Hai
Chiriyon Ko Bara Pyar Tha Us Boorhe Shajar Se
Mehnat Meri Aandhi Se To Mansoob Nahin Thi
Rehna Tha Koi Rabt Shajar Ka Bhi Samar Se
Khud Apne Se Milne Ka To Yaara Na Tha Mujh Mein
Main Bheerd Mein Gum Ho Gayi Tanhai Ke Dar Se
Be-Naam Masaafat Hi Muqaddar Hai To Kya Gham
Manzil Ka Ta’ayyun Kabhi Hota Hai Safar Se
Pathraya Hai Dil Yun Ke Koi Ism Parha Jaye
Yeh Sheher Nikalta Nahin Jadoo Ke Asar Se
Niklay Hain To Raste Mein Kahin Shaam Bhi Hogi
Suraj Bhi Magar Aaye Ga Is Rah Guzar Se
مشکل ہے کہ اب شہر میں نکلے کوئی گھر سے
دستار پہ بات آ گئی ہوتی ہوئی سر سے
برسا بھی تو کس دشت کے بے فیض بدن پر
اک عمر مرے کھیت تھے جس ابر کو ترسے
کل رات جو ایندھن کے لیے کٹ کے گرا ہے
چڑیوں کو بڑا پیار تھا اس بوڑھے شجر سے
محنت مری آندھی سے تو منسوب نہیں تھی
رہنا تھا کوئی ربط شجر کا بھی ثمر سے
خود اپنے سے ملنے کا تو یارا نہ تھا مجھ میں
میں بھیڑ میں گم ہو گئی تنہائی کے ڈر سے
بے نام مسافت ہی مقدر ہے تو کیا غم
منزل کا تعین کبھی ہوتا ہے سفر سے
پتھرایا ہے دل یوں کہ کوئی اسم پڑھا جائے
یہ شہر نکلتا نہیں جادو کے اثر سے
نکلے ہیں تو رستے میں کہیں شام بھی ہوگی
سورج بھی مگر آئے گا اس رہ گزر سے