Faiz Ahmad Faiz

Yeh Kis Khalish Ne Phir Is Dil Mein Aashiyana Kiya – Faiz

Yeh Kis Khalish Ne Phir Is Dil Mein Aashiyana Kiya

Faiz Ahmad Faiz

 

Yeh Kis Khalish Ne Phir Is Dil Mein Aashiyana Kiya
Phir Aaj Kis Ne Sukhan Hum Se Ghaayabana Kiya

Gham-e-Jahaan Ho Rukh-e-Yaar Ho Ke Dast-e-Adu
Sulook Jis Se Kiya Hum Ne Aashiqana Kiya

The Khaak-e-Raah Bhi Hum Log Qahr-e-Toofaan Bhi
Saha To Kya Na Saha Aur Kya To Kya Na Kiya

Khusha Ke Aaj Har Ek Muda’i Ke Lab Par Hai
Woh Raaz Jis Ne Humein Raandah-e-Zamana Kiya

Woh Heela Gar Jo Wafa Jo Bhi Hai Jafa Khu Bhi
Kiya Bhi Faiz To Kis But Se Dostana Kiya

 

یہ کس خلش نے پھر اس دل میں آشیانہ کیا
پھر آج کس نے سخن ہم سے غائبانہ کیا

غم جہاں ہو رخ یار ہو کہ دست عدو
سلوک جس سے کیا ہم نے عاشقانہ کیا

تھے خاک راہ بھی ہم لوگ قہر طوفاں بھی
سہا تو کیا نہ سہا اور کیا تو کیا نہ کیا

خوشا کہ آج ہر اک مدعی کے لب پر ہے
وہ راز جس نے ہمیں راندۂ زمانہ کیا

وہ حیلہ گر جو وفا جو بھی ہے جفاخو بھی
کیا بھی فیضؔ تو کس بت سے دوستانہ کیا

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *