
Log Kehte Hain Zamaane Mein Mohabbat Kam Hai
Saghar Siddiqui Poetry
Log Kehte Hain Zamaane Mein Mohabbat Kam Hai
Yeh Agar Sach Hai To Is Mein Haqeeqat Kam Hai
Chand Logon Ne Agar Mahal Bana Rakhe Hain
Is Ka Matlab Nahin Ke Sheher Mein Ghurbat Kam Hai
Ek Hum Hi Na The Jo Yun Faramosh Hue Warna
Bhool Jaane Ki Us Shakhs Ko Aadat Kam Hai
Kyun Na Hum Chhod Chalein Sheher Ki Ronaq Saagar
Waise Bhi Ab Use Apni Zarurat Kam Hai
لوگ کہتے ہیں زمانے میں محبت کم ہے
یہ اگر سچ ہے تو اس میں حقیقت کم ہے
چند لوگوں نے اگر محل بنا رکھے ہیں
اس کا مطلب نہیں کہ شہر میں غربت کم ہے
اک ہم ہی نہ تھے جو یوں فراموش ہوئے ورنہ
بھول جانے کی اس شخص کو عادت کم ہے
کیوں نہ ہم چھوڑ چلیں شہر کی رونق ساغر
ویسے بھی اب اسے اپنی ضرورت کم ہے