Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein
Bashir Badr Poetry
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De Magar Us Ke Baad Sehar Na Ho
Woh Bara Raheem O Kareem Hai Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon To Meri Dua Mein Asar Na Ho
Mere Baazuon Mein Thaki Thaki Abhi Mahv-e-Khwaab Hai Chaandni
Na Uthe Sitaaron Ki Paalki Abhi Aahaton Ka Guzar Na Ho
Yeh Ghazal Ke Jaise Hiran Ki Aankh Mein Pichhli Raat Ki Chaandni
Na Bujhe Kharaabe Ki Roshni Kabhi Be-Chiraagh Yeh Ghar Na Ho
Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein Sada Kabhi Khatm Apna Safar Na Ho
کبھی یوں بھی آ مری آنکھ میں کہ مری نظر کو خبر نہ ہو
مجھے ایک رات نواز دے مگر اس کے بعد سحر نہ ہو
وہ بڑا رحیم و کریم ہے مجھے یہ صفت بھی عطا کرے
تجھے بھولنے کی دعا کروں تو مری دعا میں اثر نہ ہو
مرے بازوؤں میں تھکی تھکی ابھی محو خواب ہے چاندنی
نہ اٹھے ستاروں کی پالکی ابھی آہٹوں کا گزر نہ ہو
یہ غزل کہ جیسے ہرن کی آنکھ میں پچھلی رات کی چاندنی
نہ بجھے خرابے کی روشنی کبھی بے چراغ یہ گھر نہ ہو
کبھی دن کی دھوپ میں جھوم کے کبھی شب کے پھول کو چوم کے
یوں ہی ساتھ ساتھ چلیں سدا کبھی ختم اپنا سفر نہ ہو