
Jab Kabhi Khoobi-e-Qismat Se Tujhe Dekhte Hain
Parveen Shakir Poetry
Jab Kabhi Khoobi-e-Qismat Se Tujhe Dekhte Hain
Aaina Khane Ki Hairat Se Tujhe Dekhte Hain
Woh Jo Paamaal-e-Zamana Hain Mere Takht Nasheen
Dekh To Kaisi Mohabbat Se Tujhe Dekhte Hain
Kaas-e-Deed Mein Bas Ek Jhalak Ka Sikka
Hum Faqeeron Ki Qana’at Se Tujhe Dekhte Hain
Tere Jaane Ka Khayal Aata Hai Ghar Se Jis Dam
Dar-o-Deewar Ki Hasrat Se Tujhe Dekhte Hain
Tere Kooche Mein Chale Jaate Hain Qaasid Ban Kar
Aur Aksar Ussi Soorat Se Tujhe Dekhte Hain
Keh Gayi Baad-e-Saba Aaj Tere Kaan Mein Kya
Phool Kis Darja Sharaarat Se Tujhe Dekhte Hain
Tujh Ko Kya Ilm Tujhe Haarne Wale Kuch Log
Kis Qadar Sakht Nidaamat Se Tujhe Dekhte Hain
جب کبھی خوبیٔ قسمت سے تجھے دیکھتے ہیں
آئنہ خانے کی حیرت سے تجھے دیکھتے ہیں
وہ جو پامال زمانہ ہیں مرے تخت نشیں
دیکھ تو کیسی محبت سے تجھے دیکھتے ہیں
کاسۂ دید میں بس ایک جھلک کا سکہ
ہم فقیروں کی قناعت سے تجھے دیکھتے ہیں
تیرے جانے کا خیال آتا ہے گھر سے جس دم
در و دیوار کی حسرت سے تجھے دیکھتے ہیں
تیرے کوچے میں چلے جاتے ہیں قاصد بن کر
اور اکثر اسی صورت سے تجھے دیکھتے ہیں
کہہ گئی باد صبا آج ترے کان میں کیا
پھول کس درجہ شرارت سے تجھے دیکھتے ہیں
تجھ کو کیا علم تجھے ہارنے والے کچھ لوگ
کس قدر سخت ندامت سے تجھے دیکھتے ہیں