
Ajaye Zehan Mein Hai, Roshni Zameer Mein Hai
Sarshar Siddiqui
Ajaye Zehan Mein Hai, Roshni Zameer Mein Hai
Ke Khaak-e-Kuye Madine Mere Khameer Mein Hai
Ye Dil Hai Yaad-e-Risaalat Ma’aab Se Ma’mur
Mataa-e-Kawn-o-Makaan Kaasa-e-Faqeer Mein Hai
Madina Jaun Sabukdosh Mudda’a Ho Jaun
Ye Ek Azeem Amaanat Dil-e-Faqeer Mein Hai
Hawaye Kuye Madina, Fazaye Sahn-e-Haram
Ye Dil Musalsal Usi Kaifiyat-e-Dilpazeer Mein Hai
Zameen-e-She’r-e-Sanaa-e-Nabi Hai Arsh Maqaam
Kahaan Ye Raf’at Idrak-e-Charkh-e-Peer Mein Hai
Dhadak Raha Hai Dil-e-Kainaat Ki Soorat
Woh Raaz-e-Kun Jo Abhi Waqt Ke Zameer Mein Hai
Madina Pahunchunga Yaar, Woh Zaroor Pahunchunga
Ke Ye Safar To Mere Haath Ki Lakeer Mein Hai
Meri Shari’at-e-Kirdaar Saaf-Goyi Hai
Wohi Zabaan Hai Sarshaar Jo Zameer Mein Hai
اجائے ذہن میں ہیں، روشنی ضمیر میں ہے
کہ خاک کوئے مدینے میرے خمیر میں ہے
یہ دل ہے یاد رسالت مآب سے معمور
متاعِ کون و مکاں کاسہِ فقیر میں ہے
مدینہ جاؤں سبکدوش مدعا ہو جاؤں
یہ اک عظیم امانت دلِ حقیر میں ہے
ہوائے کوئے مدینہ فضائے صحنِ حرم
یہ دل مسلسل اسی کیفیت دلپذیر میں ہے
زمین شعر ثنانے نبی ہے عرش مقام
کہاں یہ رفعت ادرک چرخ پیر میں ہے
دھڑک رہا ہے دلِ کائنات کی صورت
وہ راز کن جو ابھی وقت کے ضمیر میں ہے
مدینہ پہنچوں گا یار وہ ضرور پہنچوں گا
کہ یہ سفر تو میرے ہاتھ کی لکیر میں ہے
مری شریعت کردار صاف گوئی ہے
وہی زبان ہے سر شار جو ضمیر میں ہے
سرشار صدیقی