
Aaj Bhi Qafila-e-Ishq Rawan Hai Ke Jo Tha — Firaaq Gorakhpuri
Aaj Bhi Qafila-e-Ishq Rawan Hai Ke Jo Tha
Wohi Mail Aur Wohi Sang-e-Nishan Hai Ke Jo Tha
Phir Tera Gham Wohi Ruswa-e-Jahan Hai Ke Jo Tha
Phir Fasana Ba Hadees-e-Digaran Hai Ke Jo Tha
Manzilen Gard Ke Maanind Udi Jaati Hain
Wohi Andaaz-e-Jahan-e-Guzaran Hai Ke Jo Tha
Zulmat-o-Noor Mein Kuch Bhi Na Mohabbat Ko Mila
Aaj Tak Aik Dhandhlake Ka Samaan Hai Ke Jo Tha
Yoon To Is Daur Mein Bekhaif Si Hai Bazm-e-Hayat
Aik Hangaama Sar-e-Ratl-e-Garaan Hai Ke Jo Tha
Laakh Kar Jaur-o-Sitam Laakh Kar Ehsaan-o-Karam
Tujh Pe Ae Dost Wohi Wahm-o-Gumaan Hai Ke Jo Tha
Aaj Phir Ishq Do Aalam Se Juda Hota Hai
Aasteenon Mein Liye Kon-o-Makaan Hai Ke Jo Tha
Ishq Afsurda Nahin Aaj Bhi Afsurda Bahut
Wohi Kam Kam Asar Soz-e-Nihaan Hai Ke Jo Tha
Nazar Aa Jaate Hain Tum Ko To Bohat Nazuk Baal
Dil Mera Kya Wohi Ae Sheesha-garaan Hai Ke Jo Tha
Jaan De Baithe The Ek Baar Hawas Wale Bhi
Phir Wohi Marhala-e-Sood-o-Ziyaan Hai Ke Jo Tha
Aaj Bhi Saidgah-e-Ishq Mein Husn-e-Saffaak
Liye Abroo Ki Lachakti Si Kamaan Hai Ke Jo Tha
Phir Teri Chashm-e-Sukhan Sanj Ne Chhedi Koi Baat
Wohi Jaadoo Hai Wohi Husn-e-Bayaan Hai Ke Jo Tha
Raat Bhar Husn Par Aaye Bhi Gaye So So Rang
Shaam Se Ishq Abhi Tak Nigaraan Hai Ke Jo Tha
Jo Bhi Kar Jaur-o-Sitam Jo Bhi Kar Ehsaan-o-Karam
Tujh Pe Ae Dost Wohi Wahm-o-Gumaan Hai Ke Jo Tha
Aankh Jhupki Ke Idhar Khatm Hua Roz-e-Wisaal
Phir Bhi Us Din Pe Qayamat Ka Gumaan Hai Ke Jo Tha
Qurb Hi Kam Hai Na Doori Hi Zyada Lekin
Aaj Woh Rabt Ka Ehsas Kahaan Hai Ke Jo Tha
Teera Bakhti Nahin Jaati Dil-e-Sauzaan Ki Firaaq
Shama Ke Sar Pe Wohi Aaj Dhuaan Hai Ke Jo Tha
آج بھی قافلۂ عشق رواں ہے کہ جو تھا
وہی میل اور وہی سنگ نشاں ہے کہ جو تھا
پھر ترا غم وہی رسوائے جہاں ہے کہ جو تھا
پھر فسانہ بحدیث دگراں ہے کہ جو تھا
منزلیں گرد کے مانند اڑی جاتی ہیں
وہی انداز جہان گزراں ہے کہ جو تھا
ظلمت و نور میں کچھ بھی نہ محبت کو ملا
آج تک ایک دھندلکے کا سماں ہے کہ جو تھا
یوں تو اس دور میں بے کیف سی ہے بزم حیات
ایک ہنگامہ سر رطل گراں ہے کہ جو تھا
لاکھ کر جور و ستم لاکھ کر احسان و کرم
تجھ پہ اے دوست وہی وہم و گماں ہے کہ جو تھا
آج پھر عشق دو عالم سے جدا ہوتا ہے
آستینوں میں لیے کون و مکاں ہے کہ جو تھا
عشق افسردہ نہیں آج بھی افسردہ بہت
وہی کم کم اثر سوز نہاں ہے کہ جو تھا
نظر آ جاتے ہیں تم کو تو بہت نازک بال
دل مرا کیا وہی اے شیشہ گراں ہے کہ جو تھا
جان دے بیٹھے تھے اک بار ہوس والے بھی
پھر وہی مرحلۂ سود و زیاں ہے کہ جو تھا
آج بھی صید گہ عشق میں حسن سفاک
لیے ابرو کی لچکتی سی کماں ہے کہ جو تھا
پھر تری چشم سخن سنج نے چھیڑی کوئی بات
وہی جادو ہے وہی حسن بیاں ہے کہ جو تھا
رات بھر حسن پر آئے بھی گئے سو سو رنگ
شام سے عشق ابھی تک نگراں ہے کہ جو تھا
جو بھی کر جور و ستم جو بھی کر احسان و کرم
تجھ پہ اے دوست وہی وہم و گماں ہے کہ جو تھا
آنکھ جھپکی کہ ادھر ختم ہوا روز وصال
پھر بھی اس دن پہ قیامت کا گماں ہے کہ جو تھا
قرب ہی کم ہے نہ دوری ہی زیادہ لیکن
آج وہ ربط کا احساس کہاں ہے کہ جو تھا
تیرہ بختی نہیں جاتی دل سوزاں کی فراقؔ
شمع کے سر پہ وہی آج دھواں ہے کہ جو تھا