
Kabhi Khud Pe Kabhi Halaat Pe Rona Aaya
Lyrics in Hindi (Roman)
Poet: Sahir Ludhianvi
Kabhi Khud Pe Kabhi Halaat Pe Rona Aaya
Baat Nikli To Har Ek Baat Pe Rona Aaya
Hum To Samjhe The Ki Hum Bhul Gae Hain Un Ko
Kya Hua Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya
Kis Liye Jite Hain Hum Kis Ke Liye Jite Hain
Barha Aise Sawalat Pe Rona Aaya
Kaun Rota Hai Kisi Aur Ki Khatir Ai Dost
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya
Kabhi Khud Pe Kabhi Halaat Pe Rona Aaya – Lyrics in Urdu
کبھی خود پہ کبھی حالات پہ رونا آیا
بات نکلی تو ہر اک بات پہ رونا آیا
ہم تو سمجھے تھے کہ ہم بھول گئے ہیں ان کو
کیا ہوا آج یہ کس بات پہ رونا آیا
کس لیے جیتے ہیں ہم کس کے لیے جیتے ہیں
بارہا ایسے سوالات پہ رونا آیا
کون روتا ہے کسی اور کی خاطر اے دوست
سب کو اپنی ہی کسی بات پہ رونا آیا
Read More:
Jawani Ke Naghme Hawaon Ne Gaye – Qateel Shifai Poetry
Jaane Wo Kaise Log The Jin Ko [Lyrics in Urdu / Hindi]
Uske Nazdik Gham-e-tark-e-wafa Kuch Bhi Nahi – Lyrics
Haalat-e-Haal Ke Sabab,Haalat-E-Haal Hi Gayi – Jaun Elia