Amjad Islam Amjad

Yeh Jo Reg-e-Dasht-e-Firaaq Hai – Amjad Islam Amjad

Yeh Jo Reg-e-Dasht-e-Firaaq Hai – Amjad Islam Amjad

 

Yeh Jo Reg-e-Dasht-e-Firaaq Hai, Yeh Ruke Agar
Yeh ruke agar, to nishaan mile
Ke jo faaslon ki saleeb hai
Yeh gaṛi hui hai kahaan kahaan?

Mere aasmaan se kidhar gayi, tere iltifaat ki kehkashaan?
Mere be-khabar, mere be-nishaan
Yeh ruke agar to pata chale
Main tha kis nagar, tu raha kahaan

Ke zamaan-o-makaan ki wus‘atein
Tujhe dekhne ko taras gayin
Woh mere naseeb ki baarishen
Kisi aur chhat par baras gayin

Mere chaar soo hai ghubaar-e-jaan, woh fishaar-e-jaan
Ke khabar nahin mere haath ko, mere haath ki
Mere khwaab se tere baam tak
Teri rehguzar ka to zikr kya
Nahin zaufashaan tera naam tak!

Hain dhuan dhuan mere ustukhwaan
Mere aansuon mein bujhe hue, mere ustukhwaan
Mere naqshgar, mere naqsh-e-jaan
Isi reg-e-dasht-e-firaaq mein, rahe muntazir, tere muntazir

Mere khwaab jin ke fishaar mein
Rahi mere haal se be-khabar
Teri rehguzar
Teri rehguzar ke jo naqsh hai mere haath par
Magar is balaa ki hai teeragi
Ke khabar nahin mere haath ko, mere haath ki

Woh jo chashm-e-sha‘bada saaz thi, woh uthay agar
Mere ustukhwaan mein ho roshni
Isi ek lamha-e-deed mein teri rehguzar
Meri teerah jaan se chamak uthay

Mere khwaab se tere baam tak
Sabhi manzaron mein damak uthay
Isi ek pal mein ho jaawidaan
Meri aarzu ke hai be-karaan
Meri zindagi ke hai mukhtasir

Jo reg-e-dasht-e-firaaq hai — yeh ruke agar
Yeh ruke agar…!!!

 

یہ جو ریگِ دشتِ فراق ہے ، یہ رکے اگر
یہ رکے اگر، تو نشاں ملے
کہ جو فاصلوں کی صلیب ہے
یہ گڑی ہوئی ہے کہاں کہاں؟
مرے آسماں سے کدھر گئی ؟ ترے التفات کی کہکشاں
مرے بے خبر، مرے بے نشاں
یہ رکے اگر تو پتا چلے
میں تھا کس نگر تو رہا کہاں
کہ زماں و مکاں کی وسعتیں
تجھے دیکھنے کو ترس گئیں
وہ میرے نصیب کی بارشیں
کسی اور چھت پر برس گئیں
مرے چار سوہے غبار جاں ، وہ فشار جاں
کہ خبر نہیں مرے ہاتھ کو مرے ہاتھ کی
مرے خواب سے تیرے بام تک
تری رہگزر کا تو ذکر کیا
نہیں ضوفشاں تیرا نام تک !۔
ہیں دھواں دھواں مرے استخواں
مرے آنسوؤں میں بجھے ہوئے ، مرے استخواں
مرے نقش گر مرےنقش جاں
اسی ریگ دشت فراق میں ، رہے منتظر ، ترے منتظر
مرے خواب جن کے فشار میں
رہی مرے حال سے بے خبر
تری رہگزر
تری رہگزر کہ جو نقش ہے مرے ہاتھ پر
مگر اس بلا کی ہے تیرگی
کہ خبر نہیں مرے ہاتھ کومرے ہاتھ کی
وہ جو چشم شعبدہ ساز تھی وہ اٹھے اگر
میرے استخواں میں ہو روشنی
اسی ایک لمحہ دید میں تری رہگزر
میری تیرہ جاں سے چمک اٹھے
مرے خواب سے ترے بام تک
سبھی منظروں میں دمک اٹھے
اسی ایک پل میں ہو جاوداں
مری آرزو کہ ہے بے کراں
مری زندگی کہ ہے مختصر
جو ریگ دشت فراق ہے یہ ، رکے اگر
یہ رکے اگر۔۔۔!!!

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *