Rahat Indori

Us Ki Kathai Aankhon Mein Hain Jantar Mantar Sab – Rahat Indori

Us Ki Kathai Aankhon Mein Hain Jantar Mantar Sab
Chaaku Waaku, Chhuriyaan Wuriyaan, Khanjar Wanjar Sab

Jis Din Se Tum Roothay Mujh Se, Roothay Roothay Hain
Chaadar Waadar, Takiya Wakiya, Bistar Wistar Sab

Mujh Se Bichhad Kar Woh Bhi Kahaan Ab Pehlay Jaisi Hai
Pheekay Par Gaye Kapray Wapray, Zewar Wevar Sab

Aakhir Main Kis Din Dooboon Ga, Fikrein Karte Hain
Darya Warya, Kashti Washti, Langar Wangar Sab

Ishq Wushq Ke Saare Nuskhe Mujh Se Seekhte Hain
Saagar Waagar, Manzar Wanzar, Johar Wohar Sab

Tulsi Ne Jo Likha Ab Kuch Badla Badla Hai
Raavan Waavan, Lanka Wanka, Bandar Wandar Sab

Dukh Ke Chaman Ke Baasi Hain Yeh, Dard Sheher Ke Baani Hain
Mohsin Wohsin, Ghalib Walib, Saagar Waagar Sab

اس کی کتھئی آنکھوں میں ہیں جنتر منتر سب
چاقو واقو، چھریاں وُ ریاں، خنجر ونجر سب
جس دن سے تم روٹھے مجھ سے، روٹھے روٹھے ہیں
چادر وادر، تکیہ وکیہ، بستر وِستر سب
مجھ سے بچھڑ کر وہ بھی کہاں اب پہلے جیسی ہے
پھیکے پڑ گئے کپڑے وپڑے، زیور ویور سب
آخر میں کس دن ڈوبوں گا، فکریں کرتے ہیں
دریا وریا، کشتی وشتی، لنگر ونگر سب
عشق وشق کے سارے نسخے مجھ سے سیکھتے ہیں
ساگر واگر، منظر ونظر، جوہر ووہر سب
تُلسی نے جو لکھا اب کچھ بدلا بدلا ہے
راون واون، لنکا ونکا، بندر وندر سب
دکھ کے چمن کے باسی ہیں یہ، درد شہر کے بانی ہیں
محسن وحسن، غالب والب، ساغر واغر سب

راحت اندوری

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *