
Kisi Ka Naam Lo Be-Naam Afsaanay Bahut Se Hain
Kisi Ka Naam Lo, Be-Naam Afsaanay Bahut Se Hain
Na Jaane Kis Ko Tum Kehte Ho, Deewaanay Bahut Se Hain
Jafaon Ke Galay Tum Se Khuda Jaane Bahut Se Hain
Magar Mahshar Ka Din Hai, Apne Begaanay Bahut Se Hain
Banaaye De Rahi Hain Ajnabi Naadaariyaan Mujh Ko
Teri Mehfil Mein Warna Jaane Pehchaanay Bahut Se Hain
Dhari Reh Jaayegi Paabandi-e-Zindaan Jo Ab ChheRa
Yeh Darbaanon Ko Samjha Do Ke Deewaanay Bahut Se Hain
Bas Ab So Jao, Neend Aankhon Mein Hai, Kal Phir SunaaenGe
Zara Si Reh Gayi Hai Raat, Afsaanay Bahut Se Hain
Tumhein Kis Ne Bulaya Maikashon Se, Yeh Na Keh Saqi
Tabiyat Mil Gayi Hai, Warna Maikhane Bahut Se Hain
Bari Qurbaniyon Ke Baad Rehna Baagh Mein Hoga
Abhi To Aashiyaan Bijli Se Jalwaanay Bahut Se Hain
Likhi Hai Khaak Udaani Hi Agar Apne Muqaddar Mein
Tere Kooche Pe Kya Mauqoof, Veeraanay Bahut Se Hain
Na Ro Ae Shama, Maujooda Patangon Ki Museebat Par
Abhi Mehfil Se Bahar Tere Parwanay Bahut Se Hain
Mere Kehne Se Hogi Tark-e-Rasm-o-Raah Ghairon Se
Baja Hai, Aap Ne Kehne, Mere Maanay Bahut Se Hain
Qamar, Allah Saath Emaan Ke Manzil Pe Pohncha De
Haram Ki Raah Mein Sunte Hain Butkhanay Bahut Se Hain
کسی کا نام لو، بے نام افسانے بہت سے ہیں
نہ جانے کس کو تم کہتے ہو دیوانے بہت سے ہیں
جفاؤں کے گِلے تم سے خدا جانے بہت سے ہیں
تری محفل میں ورنہ جانے پہچانے بہت سے ہیں
دھری رہ جائے گی پابندیٔ زنداں، جو اب چھیڑا
یہ دربانوں کو سمجھادو کہ دیوانے بہت سے ہیں
بس اب سوجاؤ نیند آنکھوں میں ہے، کل پھر سنائیں گے
ذرا سی رہ گئی ہے رات، افسانے بہت سے ہیں
تمہیں کس نے بلایا، مے کشوں سے یہ نہ کہہ ساقی
طبیعت مل گئی ہے ورنہ مے خانے بہت سے ہیں
بڑی قربانیوں کے بعد رہنا باغ میں ہوگا
ابھی تو آشیاں بجلی سے جلوانے بہت سے ہیں
لکھی ہے خاک اڑانی ہی گر اپنے مقدر میں
ترے کوچے پہ کیا موقوف، دیوانے بہت سے ہیں
نہ رو اے شمع! موجودہ پتنگوں کی مصیبت پر
ابھی محفل سے باہر تیرے پروانے بہت سے ہیں
مرے کہنے سے ہوگی ترکِ رسم و راہ غیروں سے
بجا ہے، آپ نے کہنے میرے مانے بہت سے ہیں
قمر! اللہ ساتھ ایمان کے منزل پہ پہنچادے
حرم کی راہ میں سنتے ہیں بت خانے بہت سے ہیں
(قمر جلالوی)




