
Khilone Kheltay Gum Ho Gaya Tha Bachpan Mein
Main Ek Peڑ Talay So Gaya Tha Bachpan Mein
Kisi Faqeer Ka Saaya Tha Ya Mohabbat Thi
Pata Nahin Mujhe Kuch Ho Gaya Tha Bachpan Mein
Main Ab Sukoon Se Zakhmon Ke Phool Chunta Hoon
Main Apne Khaar Sabhi Bo Gaya Tha Bachpan Mein
Kisi Ka Hijr Mujhe Ab Nahin Sataaye Ga
Main Daagh-e-Ishq-o-Hawas Dho Gaya Tha Bachpan Mein
Mujhe Laga Ke Meri Baqiya Umar Faaltoo Hai
Jo Ishq Hona Tha Woh Ho Gaya Tha Bachpan Mein
Jo Dukh Milay To Baray Qahqahay Lagata Hoon
Main Ek Khushi Pe Bohat Ro Gaya Tha Bachpan Mein
Khud Apni Khoj Mein Rehta Hoon Subah Shaam Shakeel
Tujhe Pata Hai Ke Main Kho Gaya Tha Bachpan Mein
— Dr. Shakeel Patafi
کھلونے کھیلتے گم ہو گیا تھا بچپن میں
میں ایک پیڑ تلے سو گیا تھا بچپن میں
کسی فقیر کا سایہ تھا یا محبت تھی
پتا نہیں مجھے کچھ ہو گیا تھا بچپن میں
میں اب سکون سے زخموں کے پھول چنتا ہوں
میں اپنے خار سبھی بو گیا تھا بچپن میں
کسی کا ہجر مجھے اب نہیں ستائے گا
میں داغِ عشق و ہوس دھو گیا تھا بچپن میں
مجھے لگا کہ مری بقیہ عمر فالتو ہے
جو عشق ہونا تھا وہ ہو گیا تھا بچپن میں
جو دکھ ملیں تو بڑے قہقہے لگاتا ہوں
میں اک خوشی پہ بہت رو گیا تھا بچپن میں
خود اپنی کھوج میں رہتا ہوں صبح شام شکیل
تجھے پتا ہے کہ میں کھو گیا تھا بچپن میں
ڈاکٹر شکیل پتافی



