
Ho Kar Bhi Juda Mujh Ko Judaai To Nahi Di
ہو کر بھی جدا مجھ کو جدائی تو نہیں دی
چھوڑا ہے مجھے اس نے رہائی تو نہیں دی
کیوں شور بپا ہو گیا بستی میں اچانک
اک دل ہی دیا اس کو خدائی تو نہیں دی
اس نے بھی بھرم توڑ دیا میری وفا کا
میں نے بھی سرِ بزم دہائی تو نہیں دی
جو بات اسے کہہ کے میں لوٹی ہوں وہاں سے
وہ بات مری اس کو سنائی تو نہیں دی
میں نے بھی وضاحت کبھی مانگی نہیں اس سے
اس نے بھی کبھی آ کے صفائی تو نہیں دی
فرقت میں تری دشت نشینی کے علاوہ
مجھ کو بھی کوئی راہ سجھائی تو نہیں دی
بینائی جو گم ہو گئی آنکھوں سے حیات اب
تجھ کو ترے رستے میں دکھائی تو نہیں دی ؟
Ho Kar Bhi Juda Mujh Ko Judaai To Nahi Di
Chhoda Hai Mujhe Us Ne Rihai To Nahi Di
Kyun Shor Bapa Ho Gaya Basti Mein Achanak
Ek Dil Hi Diya Us Ko Khudaai To Nahi Di
Us Ne Bhi Bharam Tod Diya Meri Wafa Ka
Main Ne Bhi Sar-e-Bazm Dihai To Nahi Di
Jo Baat Use Keh Ke Main Lauti Hoon Wahan Se
Woh Baat Meri Us Ko Sunai To Nahi Di
Main Ne Bhi Wazahat Kabhi Maangi Nahi Us Se
Us Ne Bhi Kabhi Aa Ke Safai To Nahi Di
Furqat Mein Teri Dasht Nasheeni Ke Ilaawa
Mujh Ko Bhi Koi Raah Sujhai To Nahi Di
Binaai Jo Gum Ho Gayi Aankhon Se Hayaat Ab
Tujh Ko Tere Raste Mein Dikhai To Nahi Di?




