Mohsin Naqvi

Yoon Bhi Khizaan Ka Roop Sahana Laga Mujhe – Mohsin Naqvi

Yoon Bhi Khizaan Ka Roop Sahana Laga Mujhe
Har Phool Fasl-e-Gul Mein Purana Laga Mujhe

Main Kya Kisi Pe Sang Uthaanay Ki Sochta
Apna Hi Jism Aaeena Khaana Laga Mujhe

Ae Dost! Jhoot Aam Tha Duniya Mein Is Qadar
Tu Ne Bhi Sach Kaha To Fasaana Laga Mujhe

Ab Us Ko Kho Raha Hoon Baday Ishtiyaaq Se
Woh Jis Ko Dhoondhne Mein Zamaana Laga Mujhe

Mohsin! Hujoom-e-Yaas Mein Marne Ka Shauq Bhi
Jeenay Ka Ik Haseen Bahaana Laga Mujhe

Yoon Bhi Khizaan Ka Roop Sahana Laga Mujhe
Poetry in Urdu

وں بھی خزاں کا رُوپ سہانا لگا مجھے
ہر پھول فصلِ گُل میں پرانا لگا مجھے
میں کیا کسی پہ سنگ اُٹھانے کی سوچتا
اپنا ہی جسم آئینہ خانہ لگا مجھے
اے دوست! جھوٹ عام تھا دنیا میں اس قدر
تُو نے بھی سچ کہا تو فسانہ لگا مجھے
اب اس کو کھو رہا ہوں بڑے اشتیاق سے
وہ جس کو ڈھونڈنے میں زمانہ لگا مجھے
محسنؔ ہجومِ یاس میں مرنے کا شوق بھی
جینے کا اِک حسین بہانہ لگا مجھے

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *