
Life is full of ups and downs, happiness and sadness, success and struggle. Every experience teaches us something new. Sometimes, a simple quote can describe these life lessons better than long explanations. Life quotes in Urdu beautifully express real emotions, truth, and wisdom in very few words.
In this blog, you will find the best life quotes in Urdu that are easy to read and understand. These quotes talk about reality, patience, hope, and self-reflection. Whether you are feeling happy, confused, or going through a difficult time, these Urdu life quotes will help you understand life better and connect with your emotions.
“انسان نہیں بولتا اسکے دن بولتے ہیں اور جب دن صحیح نہ ہوں انسان لاکھ بولے کوئی نہیں سنتا.”
“Insaan Nahin Bolta Uske Din Bolte Hain Aur Jab Din Sahi Na Hon Insaan Laakh Bole Koi Nahi Sunta.”
_________________
“ہم اس زندگی کے پیچھے بھاگتے پھرتے ہیں جو کسی بھی پل ختم ہو سکتی ہے۔”
“Hum Is Zindagi Ke Peechay Bhaagtay Phirtay Hain Jo Kisi Bhi Pal Khatam Ho Sakti Hai.”
_________________
محبت کسی کو چھوڑنے کی ننانوے مضبوط وجوہات رکھتے ھوۓ بھی ایک کمزور جواز پر ساتھ رہنے کا نام ہے۔
Mohabbat Kisi Ko Chorne Ki Ninety Nine Mazboot Wajohat Rakhtay Huay Bhi
Ek Kamzor Jawaz Par Saath Rehne Ka Naam Hai.
_________________
خاندانی لوگ آسانیاں پیدا کرتے ہیں جبکہ گھٹیا لوگ پریشانیاں، جیسی نسل ویسی فصل
Khandani Log Aasaniyan Paida Karte Hain Jabke Ghatiya Log Pareshaniyan.
Jaisi Nasal Waisi Fasal
_________________
اختلافات ڈٹ کر کریں لیکن منافقت سے بچیں
اختلافات جرآت مند، دلیر اور خاندانی لوگ کرتے ہیں جبکہ منافقت بزدلوں اور بدنسلوں کی صفت ہے
Ikhtilafaat Datt Kar Karein Lekin Munafiqat Se Bachain
Ikhtilafaat Jurrat Mand, Dilair Aur Khandani Log Karte Hain
Jabke Munafiqat Buzdilon Aur Bad-Naslon Ki Sifat Hai
_________________
مرنے کے دستیاب طریقوں میں سے سب سے اذیت ناک طریقہ زندہ رہنا ہے۔
Marnay Ke Dastyab Tareeqon Mein Se Sab Se Azeeyat-Naak Tareeqa Zinda Rehna Hai.
_________________
اور جب تمہارے دل تھک جائیں ، تو اسے یاد دلاؤ کہ یہ تو بس ایک فانی دُنیا ہے
Aur Jab Tumhare Dil Thak Jayen
To Ise Yaad Dilao Ke Ye To Bas Ek Fani Duniya Hai
_________________
اے زندگی تیرے مسلسل امتحان
میرے چہرے کی رونق لے اُڑے
Ae Zindagi Tere Musalsal Imtihaan
Mere Chehray Ki Ronaq Le Urey.
_________________
ہر انسان کے دل میں ایک قبرستان ہے
جہاں خواب دفن ہیں۔
Har Insaan Ke Dil Mein Ek Qabristan Hai
Jahan Khawab Dafan Hain.
_________________
منزلوں کو خبر ہی نہیں ، سفر نے کتنا کچھ چھین لیا ہم سے
Manzilon Ko Khabar Hi Nahin
Safar Ne Kitna Kuch Cheen Liya Hum Se
_________________
دنیا میں جتنی لعنتیں ہیں، بھوک ان کی ماں ہے۔
Duniya Mein Jitni La’natein Hain, Bhook Un Ki Maa Hai.
_________________
ہر انسان کے اپنے پوشیدہ دُکھ ہوتے ہیں جو دنیا نہیں جانتی
اور اکثر اوقات ہم کسی انسان کو بےحس کہتے ہیں جب کہ وہ صرف غمگین ہوتا ہے
Har Insaan Ke Apne Poshida Dukh Hotay Hain Jo Duniya Nahin Jaanti.
Aksar Hum Kisi Ko Be-Hiss Keh Dete Hain
Jabke Woh Sirf Ghamgeen Hota Hai
_________________
یہ زمانہ خیریت نہیں حیثیت پوچھتا ہے
Ye Zamana Khairiyat Nahin Haisiyat Poochta Hai.
_________________
ہم خوش قسمت ہوتے ہیں اگر ہمیں اپنا گھر پرسکون اور پیارا لگے
Hum Khush Qismat Hotay Hain Agar Humein Apna Ghar Pur-Sukoon Aur Pyara Lagay.
_________________
“کچھ رخصتیں دوا کی طرح ہوتی ہیں، اس کا ذائقہ کڑوا ہوتا ہے لیکن شفا بخش ہوتا ہے۔”
“Kuch Rukhsatein Dawa Ki Tarah Hoti Hain,
Zaiqa Karwa Hota Hai Lekin Shifa-Bakhsh Hoti Hain.
_________________
“ٹوٹی چیزیں بہت پریشان کرتی ہیں”
“جیسے دل، نیند، بھروسہ اور سب سے زیادہ کسی سے امید”
“Tooti Cheezein Bohat Pareshan Kartin Hain
Jaise Dil, Neend, Bharosa Aur Sab Se Zyada Kisi Se Umeed
_________________
کچھ لوگوں کو آپ سے محبت نہیں ہوتی
وہ آپ کی بےپناہ محبت اور چاہت دیکھ کر
آپ پر ترس کھا کر بات کرتے ہیں، بس۔
“Kuch Logon Ko Aap Se Mohabbat Nahin Hoti…
Woh Aap Ki Bay-Panah Mohabbat Dekh Kar
Aap Par Taras Kha Kar Baat Karte Hain, Bas
_________________
نصیب کی لکھی گئی اذیتیں سہے بغیر ہم مر نہیں سکتے
Naseeb Ki Likhi Gayi Azeeyatein Sahe Baghair Hum Mar Nahin Sakte.
_________________
زندگی بےرحم سمندر کی موجوں جیسی ہے
اور ہم ان لہروں کے حوالے زندگی کی جستجو میں ہاتھ پیر مار رہے ہیں
Zindagi Be-Rahm Samandar Ki Moujon Jaisi Hai
Aur Hum Un Lehron Ke Hawaale Zindagi Ki Justaju Mein Haath Pair Maar Rahe Hain.
_________________
مجھے اختلاف ہے ان لوگوں سے جو کہتے ہیں”
“وقت ہر زخم کا مرہم ہوتا ہے
Mujhe Ikhtilaf Hai Un Logon Se Jo Kehte Hain
“Waqar Har Zakhm Ka Marham Hota Hai
_________________
جو اعتبار میں اندھا ہو کر زندگی گزارتا ہے وہ دھوکے کے ہاتھوں قتل ہو کر مارا جائے گا
Jo Etibaar Mein Andha Ho Kar Zindagi Guzarta Hai
Woh Dhokay Ke Haathon Qatal Ho Kar Mara Jaye Ga.
_________________
خود کو تباہ کرنے کا پہلا مرحلہ ضرورت سے زیادہ سوچنا ہے
Khud Ko Tabah Karne Ka Pehla Marhala Zaroorat Se Zyada Sochna Hai.
_________________
کچھ لوگ کسی کو خوش دیکھ لیں تو اداس ہو جاتے ہیں
ایسے لوگوں میں مت ہونا
Kuch Log Kisi Ko Khush Dekh Lein To Udaas Ho Jate Hain,
Aisay Logon Mein Mat Hona
_________________
انسان وہ خسارہ بھول ہی نہیں سکتا جو مخلص ہو کے کھایا ہو۔
Insaan Woh Khusara Bhool Hi Nahin Sakta
Jo Mukhlis Ho Kar Khaya Ho
_________________
دھوکہ دینے کے ایک ہزار طریقے ہیں لیکن سب سے گھٹیا طریقہ محبت و ہمدردی کا دکھاوا کرنا ہے
Dhoka Dene Ke Aik Hazar Tareeqay Hain
Lekin Sab Se Ghatiya Tareeqa Mohabbat Aur Hamdardi Ka Dikhawa Karna Hai
_________________
پوچھا حال شہر کا تو سرجھکا کے کہا صاحب ! لوگ تو زندہ ہیں ضمیروں کا پتا نہیں
Poocha Haal Shehar Ka To Sar Jhuka Kar Kaha,
“Saheb! Log To Zinda Hain,
Zameeron Ka Pata Nahin
_________________
تعلّق تب تک قائم رہتا ہے، جب تک پرواہ زندہ ہو۔
جس دِن پرواہ فوت ہو جائے، پھر بےشک ملاقات بھی ہو، لیکن تعلّق نہیں رہتا
Ta’alluq Tab Tak Qaim Rehta Hai, Jab Tak Parwah Zinda Ho.
Jis Din Parwah Fot Ho Jaye, Phir Beshak Mulaqat Bhi Ho, Lekin Ta’alluq Nahin Rehta.
_________________
ہر وہ سوچ خوبصورت ہے جو انسانیت کو اپنی ترجیحات میں سر فہرست رکھے
۔Har Woh Soch Khoobsurat Hai
Jo Insaniyat Ko Apni Tarjeehat Mein Sar-E-Fahrist Rakhay
_________________
نیکی اور احسان کو خوب جمع کیجئے کیونکہ انہیں نہ آگ جلائے گی نہ مٹی کھائے گی
.Neki Aur Ehsaaan Ko Khoob Jama Kijiye
Kyunkeh Inhain Na Aag Jalaye Gi Na Mitti Khaye Gi
_________________
چار لوگ سلام کر لیں تو بندے میں
” رعونت ” پیدا ہو جاتی ہے ۔
چار لوگ اگر “مذمت” کریں تو شاید ” انسانیت ” پیدا ہو جائے ۔
تو وہ مذمت کرنا بہتر ہے جو
“انسانیت پیدا کر دے”.
اور
وہ سلام آپ کے لیے عذاب ہے جو آپ کے اندر رعونت پیدا کر دے
بعض اوقات “عبادت کا غرور” جو ہے وہ آپ کو تباہ کر دیتا ہے ۔
اور بعض اوقات “گناہ کی ندامت ” آپ کو اللہ کا مقرب بنا سکتی ہے
Chaar Log Salaam Kar Lein To Banday Mein
“Raoonat” Paida Ho Jati Hai.
Chaar Log Agar “Mazammat” Karein To Shayad “Insaniyat” Paida Ho Jaye.
To Woh Mazammat Karna Behtar Hai Jo
“Insaniyat Paida Kar De”.
Aur
Woh Salaam Aap Ke Liye Azaab Hai Jo Aap Ke Andar Raoonat Paida Kar De.
Baaz Auqaat “Ibadat Ka Ghuroor” Aap Ko Tabah Kar Deta Hai.
Aur Baaz Auqaat “Gunah Ki Nadamat” Aap Ko Allah Ka Muqarrab Bana Sakti Hai.











