Qateel Shifai

Garmi-e-Hasrat-e-Naakaam Se Jal Jaate Hain – Qateel Shifai

Garmi-e-Hasrat-e-Naakaam Se Jal Jaate Hain

Qateel Shifai

 

Garmi-e-Hasrat-e-Naakaam Se Jal Jaate Hain
Hum Chiraagon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hain

Shama Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Ke Liye
Hum Usi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaate Hain

Bach Nikalte Hain Agar Aatish-e-Sayyal Se Hum
Shola-e-Aarz-e-Gulfaam Se Jal Jaate Hain

Khud-Numaai To Nahin Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Woh Aaraam Se Jal Jaate Hain

Rabt Baaham Pe Humein Kya Na Kahenge Dushman
Aashna Jab Tere Paighaam Se Jal Jaate Hain

Jab Bhi Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaane Kyon Log Mere Naam Se Jal Jaate Hain

گرمیٔ حسرت ناکام سے جل جاتے ہیں
ہم چراغوں کی طرح شام سے جل جاتے ہیں

شمع جس آگ میں جلتی ہے نمائش کے لیے
ہم اسی آگ میں گمنام سے جل جاتے ہیں

بچ نکلتے ہیں اگر آتش سیال سے ہم
شعلۂ عارض گلفام سے جل جاتے ہیں

خود نمائی تو نہیں شیوۂ ارباب وفا
جن کو جلنا ہو وہ آرام سے جل جاتے ہیں

ربط باہم پہ ہمیں کیا نہ کہیں گے دشمن
آشنا جب ترے پیغام سے جل جاتے ہیں

جب بھی آتا ہے مرا نام ترے نام کے ساتھ
جانے کیوں لوگ مرے نام سے جل جاتے ہیں

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *