
Dil Par Shauq Ko Pehlu Mein Dabaaye Rakha
Habib Jalib
دل پر شوق کو پہلو میں دبائے رکھا
تجھ سے بھی ہم نے ترا پیار چھپائے رکھا
چھوڑ اس بات کو اے دوست کہ تجھ سے پہلے
ہم نے کس کس کو خیالوں میں بسائے رکھا
غیر ممکن تھی زمانے کے غموں سے فرصت
پھر بھی ہم نے ترا غم دل میں بسائے رکھا
پھول کو پھول نہ کہتے سو اسے کیا کہتے
کیا ہوا غیر نے کالر پہ سجائے رکھا
جانے کس حال میں ہیں کون سے شہروں میں ہیں وہ
زندگی اپنی جنہیں ہم نے بنائے رکھا
ہائے کیا لوگ تھے وہ لوگ پری چہرہ لوگ
ہم نے جن کے لیے دنیا کو بھلائے رکھا
اب ملیں بھی تو نہ پہچان سکیں ہم ان کو
جن کو اک عمر خیالوں میں بسائے رکھا
Dil Par Shauq Ko Pehlu Mein Dabaaye Rakha
Tujh Se Bhi Hum Ne Tera Pyaar Chhupaye Rakha
Chhor Is Baat Ko Ae Dost Ke Tujh Se Pehle
Hum Ne Kis Kis Ko Khayalon Mein Basaaye Rakha
Ghair Mumkin Thi Zamaane Ke Ghamon Se Fursat
Phir Bhi Hum Ne Tera Gham Dil Mein Basaaye Rakha
Phool Ko Phool Na Kehte So Use Kya Kehte
Kya Hua Ghair Ne Collar Pe Sajaaye Rakha
Jaane Kis Haal Mein Hain Kaun Se Shehron Mein Hain Woh
Zindagi Apni Jinhein Hum Ne Banaaye Rakha
Haaye Kya Log The Woh Log Pari Chehra Log
Hum Ne Jin Ke Liye Duniya Ko Bhulaaye Rakha
Ab Milen Bhi To Na Pehchaan Saken Hum Un Ko
Jin Ko Ek Umar Khayalon Mein Basaaye Rakha