Faiz Ahmad Faiz

Ghazal – Reh-e-Khizaan Mein Talaash-e-Bahaar Karte Rahe | Faiz

Ghazal – Reh-e-Khizaan Mein Talaash-e-Bahaar Karte Rahe

Faiz Ahmad Faiz 

 

رہ خزاں میں تلاش بہار کرتے رہے
شب سیہ سے طلب حسن یار کرتے رہے

خیال یار کبھی ذکر یار کرتے رہے
اسی متاع پہ ہم روزگار کرتے رہے

نہیں شکایت ہجراں کہ اس وسیلے سے
ہم ان سے رشتۂ دل استوار کرتے رہے

وہ دن کہ کوئی بھی جب وجہ انتظار نہ تھی
ہم ان میں تیرا سوا انتظار کرتے رہے

ہم اپنے راز پہ نازاں تھے شرمسار نہ تھے
ہر ایک سے سخن راز دار کرتے رہے

ضیائے بزم جہاں بار بار ماند ہوئی
حدیث شعلہ رخاں بار بار کرتے رہے

انہیں کے فیض سے بازار عقل روشن ہے
جو گاہ گاہ جنوں اختیار کرتے رہے

 

Reh-e-Khizaan Mein Talaash-e-Bahaar Karte Rahe
Shab-e-Siyah Se Talab Husn-e-Yaar Karte Rahe

Khayal-e-Yaar Kabhi Zikr-e-Yaar Karte Rahe
Isi Mata’a Pe Hum Rozgaar Karte Rahe

Nahi Shikayat-e-Hijraan Ke Is Waseele Se
Hum Un Se Rishte-e-Dil Estawaar Karte Rahe

Woh Din Ke Koi Bhi Jab Wajah-e-Intezar Na Thi
Hum Un Mein Tere Siwa Intezar Karte Rahe

Hum Apne Raaz Pe Naazaan The Sharmsaar Na The
Har Aik Se Sukhan Raazdaar Karte Rahe

Ziya-e-Bazm-e-Jahan Baar Baar Maand Huyi
Hadees-e-Shaula-Rukhan Baar Baar Karte Rahe

Unhi Ke Faiz Se Bazaar-e-Aql Roshan Hai
Jo Gaah Gaah Junoon Ikhtiyaar Karte Rahe

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *