Sahir Ludhianvi

Ghazal – Jurm-e-Ulfat Pe Humein Log Saza Dete Hain

Ghazal – Jurm-e-Ulfat Pe Humein Log Saza Dete Hain

Poet: Sahir Ludianvi

 

Jurm-e-Ulfat Pe Humein Log Saza Dete Hain
Kaise Naadaan Hain Sholon Ko Hawa Dete Hain

Hum Se Deewane Kahin Tark-e-Wafa Karte Hain
Jaan Jaaye Ke Rahe, Baat Nabha Dete Hain

Aap Daulat Ke Taraazu Mein Dilon Ko Tolen
Hum Mohabbat Se Mohabbat Ka Sila Dete Hain

Takht Kya Cheez Hai Aur Laal-o-Jawahar Kya Hain
Ishq Waale To Khudaai Bhi Luta Dete Hain

Hum Ne Dil De Bhi Diya, Ahd-e-Wafa Le Bhi Liya
Aap Ab Shauq Se De Lein Jo Saza Dete Hain

— Sahir Ludhianvi

جرم الفت پہ ہمیں لوگ سزا دیتے ہیں
کیسے نادان ہیں شعلوں کو ہوا دیتے ہیں
ہم سے دیوانے کہیں ترک وفا کرتے ہیں
جان جائے کہ رہے بات نبھا دیتے ہیں
آپ دولت کے ترازو میں دلوں کو تولیں
ہم محبت سے محبت کا صلہ دیتے ہیں
تخت کیا چیز ہے اور لعل و جواہر کیا ہیں
عشق والے تو خدائی بھی لٹا دیتے ہیں
ہم نے دل دے بھی دیا عہد وفا لے بھی لیا
آپ اب شوق سے دے لیں جو سزا دیتے ہیں

ساحر لدھیانوی

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *