
Woh Na Aaye Ga Yahan, Woh Nahi Aane Wala
Poet: Farooq Bakhshi
Woh Na Aaye Ga Yahan, Woh Nahi Aane Wala
Mujh Ko Tanhai Ka Ehsaas Dilaane Wala
Kya Khabar Thi Ke Taras Jaaye Ga Tabeeron Ko
Apni Aankhon Mein Tere Khwab Sajaane Wala
Apni Tadbeer Ke Anjaam Se Na Waakif Hai
Haal Taqdeer Ka Auron Ko Bataane Wala
Meri Rag Rag Mein Lahoo Ban Ke Rawaan Ho Jaise
Mere Saaye Se Bhi Daaman Ko Bachaane Wala
Kaamyaabi Se Baharhaal Khushi Hoti Hai
Hans Raha Hai Mujhe Deewana Banaane Wala
Bazm Ki Aur Hai, Tanhai Ki Duniya Kuch Aur
Raat Bhar Rota Raha, Din Mein Hansane Wala
Hama Tan Gosh Bana Deta Hai Mujh Ko Farooq
Us Ki Baaton Ka Woh Andaaz Lubhaane Wala
وہ نہ آئے گا یہاں وہ نہیں آنے والا
مجھ کو تنہائی کا احساس دلانے والا
کیا خبر تھی کہ ترس جائے گا تعبیروں کو
اپنی آنکھوں میں ترے خواب سجانے والا
اپنی تدبیر کے انجام سے ناواقف ہے
حال تقدیر کا اوروں کو بتانے والا
میری رگ رگ میں لہو بن کے رواں ہو جیسے
میرے سائے سے بھی دامن کو بچانے والا
کامیابی سے بہرحال خوشی ہوتی ہے
ہنس رہا ہے مجھے دیوانہ بنانے والا
بزم کی اور ہے تنہائی کی دنیا کچھ اور
رات بھر روتا رہا دن میں ہنسانے والا
ہمہ تن گوش بنا دیتا ہے مجھ کو فاروقؔ
اس کی باتوں کا وہ انداز لبھانے والا


