
Main Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne
Sabz Mausam Mein Mujhe Zard Hawa Di Us Ne
Pehle Ek Lamhe Ki Zanjeer Se Baandha Mujh Ko
Aur Phir Waqt Ki Raftaar Badha Di Us Ne
Meri Naakaam Mohabbat Mujhe Waapas Kar Di
Yoon Mere Haath Meri Laash Thama Di Us Ne
Jaanta Tha Ke Mujhe Maut Sukoon Bakhshay Gi
Woh Sitamgar Tha, So Jeene Ki Dua Di Us Ne
Us Ke Hone Se Thi Saansen Meri Dugni Mohsin
Woh Jo Bichhda To Meri Umar Ghata Di Us Ne
میں جو مہکا تو میری شاخ جلا دی اس نے
سبز موسم میں مجھے زرد ہوا دی اس نے
پہلے ایک لمحے کی زنجیر سے باندھا مجھ کو
اور پھر وقت کی رفتار بڑھا دی اس نے
میری ناکام محبت مجھے واپس کر دی
یوں مرے ہاتھ، میری لاش تھما دی اس نے
جانتا تھا کے مجھے موت سکون بخشے گی
وہ ستمگر تھا سو جینے کی دعا دی اس نے
اس کے ہونے سے تھی سانسیں میری دگنی محسن
وہ جو بچھڑا تو میری عمر گھٹا دی اس نے



![Aisa Nahin Ke Hum Ko Mohabbat Nahin Mili [Urdu Shayari]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2025/10/pexels-pixabay-70577-390x220.jpg)