
Chhord Jaane Pe Parindon Ki Muzammat Ki Ho
Tum Ne Dekha Hai Kabhi Peir Ne Hijrat Ki Ho
Jhoolti Shaakh Se Chup Chaap Juda Hone Par
Zard Patton Ne Hawaon Se Shikayat Ki Ho
Ab To Itna Bhi Nahin Yaad Ke Kab Aakhri Baar
Dil Ne Kuch Toot Ke Chaha, Koi Hasrat Ki Ho
Umar Chhoti Si Magar Shakal Pe Jhuriyaan Itni
Ain Mumkin Hai Kabhi Hum Ne Bhi Mohabbat Ki Ho
Dil Shikasta Hai Koi Aisa Hunarmand Bata
Jis Ne Tootay Hue Sheeshon Ki Murammat Ki Ho
Shab Ke Daman Wohi Noor Bharain Ge Ahmed
Jin Charaghon Ne Andhere Se Baghaawat Ki Ho
چھوڑ جانے پہ پرندوں کی مُذمت کی ہو
تُم نے دیکھا ہے کبھی پیڑ نے، ہجرت کی ہو
جُھولتی شاخ سے چُپ چاپ جُدا ہونے پر
زرد پتوں نے ہواؤں سے شِکایت کی ہو
اب تو اتنا بھی نہیں یاد کہ کب آخری بار
دِل نے کُچھ ٹُوٹ کے چاہا، کوئی حسرت کی ہو
عُمر چھوٹی سی مگر شکل پہ جھُریاں اتنی
عین ممکن ہے کبھی ہم نے بھی مُحبت کی ہو
دِل شکستہ ہے کوئی ایسا ہُنرمند بتا
جِس نے ٹُوٹے ہُوئے شِیشوں کی مُرمت کی ہو
شب کے دامن وُہی نُور بھریں گے احمد
جِن چراغوں نے اندھیرے سے، بغاوت کی ہو
احمد خلیل
Apne Bete Ke Liye Ek Nazm – Parveen Shakir
Umar Ka Bharosa Kya, Pal Ka Saath Ho Jaaye – Parveen Shakir
Shaam Tak Subah Ki Nazron Se Utar Jaate Hain | Waseem Barelvi




