
Tumhara Hijr Mana Loon Agar Ijazat Ho
– Jaun Elia
Tumhara Hijr mana loon agar ijazat ho
Main dil kisi se laga loon agar ijazat ho
Tumhare Baad bhala kya hain Waada-o-Paimaa’n
Bas apna Waqt Ganwaa loon agr ijazat ho
Tumhare Hijr ki shab haaaye kaar me Jaaana
Koi charaagh Jalaa loon agr ijazt ho
Junoo’n wohi hai, Wohi main, Magr hai Shehar Naya
Yahan bhi Shor Macha loon agr ijazat ho
Kisay hai khuwahish-e-Marham giri magar phir Bhi
Main apne Zakhm dikha loon agr ijazat ho
Tumhari Yaad me Jeeny ki Arzoo hai abhi
Kuch apna haal Sambhal loon agr ijazat ho
تمہارا ہجر منا لوں اگر اجازت ہو
میں دل کسی سے لگا لوں اگر اجازت ہو
تمہارے بعد بھلا کیا ہیں وعدہ و پیماں
بس اپنا وقت گنوا لوں اگر اجازت ہو
تمہارے ہجر کی شب ہائے کار میں جاناں
کوئی چراغ جلا لوں اگر اجازت ہو
جنوں وہی ہے، وہی میں، مگر ہے شہر نیا
یہاں بھی شور مچا لوں اگر اجازت ہو
کسے ہے خواہشِ مرہم گری مگر پھر بھی
میں اپنے زخم دکھا لوں اگر اجازت ہو
تمہاری یاد میں جینے کی آرزو ہے ابھی
کچھ اپنا حال سنبھالوں اگر اجازت ہو
Read More:
Zindagi Se Yahi Gila Hai Mujhe – Ahmad Faraz
Nukta-Chin Hai Gham-E-Dil Us Ko Sunae Na Bane – Ghalib
Jaane Wo Kaise Log The Jin Ko [Lyrics in Urdu / Hindi]