
Yeh Kya Ke Sab Se Bayan Dil Ki Haalatain Karni
Ahmad Faraz
Yeh Kya Ke Sab Se Bayan Dil Ki Haalatain Karni
Faraz Tujh Ko Nah Aayen Mohabbatain Karni
Yeh Qurb Kya Hai Ke Tu Samne Hai Aur Humein
Shumaar Abhi Se Judaai Ki Saathain Karni
Koi Khuda Ho Ke Pathar Jise Bhi Hum Chahein
Tamam Umar Isi Ki Ibadatain Karni
Sab Apne Apne Qareene Se Muntazir Us Ke
Kisi Ko Shukar Kisi Ko Shikayatein Karni
Hum Apne Dil Se Hi Majboor Aur Logon Ko
Zara Si Baat Pe Barpa Qayamatain Karni
Milain Jab Un Se To Mubaham Si Guftagu Karna
Phir Apne Aap Se So So Wazahatain Karni
Yeh Log Kaise Magar Dushmani Nibahte Hain
Humein To Raas Nah Aayen Mohabbatain Karni
Kabhi Faraz Naye Mausamon Mein Ro Dena
Kabhi Talaash Purani Rafaqatein Karni
یہ کیا کہ سب سے بیاں دل کی حالتیں کرنی
فرازؔ تجھ کو نہ آئیں محبتیں کرنی
یہ قرب کیا ہے کہ تو سامنے ہے اور ہمیں
شمار ابھی سے جدائی کی ساعتیں کرنی
کوئی خدا ہو کہ پتھر جسے بھی ہم چاہیں
تمام عمر اسی کی عبادتیں کرنی
سب اپنے اپنے قرینے سے منتظر اس کے
کسی کو شکر کسی کو شکایتیں کرنی
ہم اپنے دل سے ہی مجبور اور لوگوں کو
ذرا سی بات پہ برپا قیامتیں کرنی
ملیں جب ان سے تو مبہم سی گفتگو کرنا
پھر اپنے آپ سے سو سو وضاحتیں کرنی
یہ لوگ کیسے مگر دشمنی نباہتے ہیں
ہمیں تو راس نہ آئیں محبتیں کرنی
کبھی فرازؔ نئے موسموں میں رو دینا
کبھی تلاش پرانی رفاقتیں کرنی
Is Waqt To Yun Lagta Hai Ab Kuch Bhi Nahi Hai – Faiz
Hawa-e-Shaam Zara Sa Qayaam Hoga Na – Ghazal
Kisi Ka Naam Lo Be-Naam Afsaanay Bahut Se Hain




