Urdu Poetry (Misc)

Ghazal – Yahi Bohat Hai Ke Dil Us Ko Dhoond Laya Hai

یہی بہت ہے کہ دل اس کو ڈھونڈ لایا ہے

Yahi Bohat Hai Ke Dil Us Ko Dhoond Laya Hai

Yahi Bohat Hai Ke Dil Us Ko Dhoond Laya Hai
Kisi Ke Saath Sahi, Woh Nazar To Aaya Hai

Karoon Shikayatein, Takta Rahoon Ke Pyar Karoon
Gai Bahar Ki Soorat, Woh Laut Aaya Hai

Woh Samne Tha Magar Yeh Yaqeen Na Aata Tha
Woh Aap Hai Ke Meri Khwahishon Ka Saya Hai

Azaab Dhoop Ke Kaise Hain, Barishen Kya Hain
Faseel-e-Jism Garmi, Jab To Hosh Aaya Hai

Main Kya Karoon Ga Agar Woh Na Mil Saka, Amjad
Abhi Abhi Mere Dil Mein Khayal Aaya Hai

یہی بہت ہے کہ دل اس کو ڈھونڈ لایا ہے
کسی کے ساتھ سہی وہ نظر تو آیا ہے
کروں شکایتیں، تکتا رہوں کہ پیار کروں
گئی بہار کی صورت وہ لوٹ آیا ہے
وہ سامنے تھا مگر یہ یقیں نہ آتا تھا
وہ آپ ہے کہ میری خواہشوں کا سایہ ہے
عذاب دھوپ کے کیسے ہیں بارشیں کیا ہیں
فصیلِ جسم گرمی جب تو ہوش آیا ہے
میں کیا کروں گا اگر وہ نہ مل سکا امجدؔ
ابھی ابھی میرے دل میں خیال آیا ہے

Aagaah Apni Maut Se Koi Bashar Nahi – Urdu Ghazal
Yeh Duniya Hai, Are Nadaan, Na Is Ke Jaal Mein Aana
Shikast by Sahir Ludhianvi | Apne Seene Se Lagaaye Huye Umeed

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *