
Tujh Se Mil Kar To Ye Lagta Hai Ke Ae Ajnabi Dost
Ahmad Faraz
Tujh Se Mil Kar To Ye Lagta Hai Ke Ae Ajnabi Dost
Tu Meri Pehli Mohabbat Thi, Meri Aakhri Dost
Log Har Baat Ka Afsana Bana Detay Hain
Ye To Duniya Hai Meri Jaan, Kai Dushman Kai Dost
Tere Qamat Se Bhi Lipti Hai Amar Bail Koi
Meri Chahat Ko Bhi Duniya Ki Nazar Kha Gayi Dost
Yaad Aayi Hai To Phir Toot Ke Yaad Aayi Hai
Koi Guzri Hui Manzil, Koi Bhooli Hui Dost
Ab Bhi Aaye Ho To Ehsaan Tumhara Lekin
Woh Qayamat Jo Guzarni Thi Guzar Bhi Gayi Dost
Tere Lehje Ki Thakan Mein Tera Dil Shamil Hai
Aisa Lagta Hai Judai Ki Ghadi Aa Gayi Dost
Baarish-E-Sang Ka Mausam Hai Mere Shehar Mein To
Tu Ye Sheeshe Sa Badan Le Ke Kahan Aa Gayi Dost
Main Use Ehd Shikan Kaise Samajh Loon Jis Ne
Aakhri Khat Mein Ye Likha Tha, Faqat Aap Ki Dost
تجھ سے مل کر تو یہ لگتا ہے کہ اے اجنبی دوست
تو مری پہلی محبت تھی مری آخری دوست
لوگ ہر بات کا افسانہ بنا دیتے ہیں
یہ تو دنیا ہے مری جاں کئی دشمن کئی دوست
تیرے قامت سے بھی لپٹی ہے امر بیل کوئی
میری چاہت کو بھی دنیا کی نظر کھا گئی دوست
یاد آئی ہے تو پھر ٹوٹ کے یاد آئی ہے
کوئی گزری ہوئی منزل کوئی بھولی ہوئی دوست
اب بھی آئے ہو تو احسان تمہارا لیکن
وہ قیامت جو گزرنی تھی گزر بھی گئی دوست
تیرے لہجے کی تھکن میں ترا دل شامل ہے
ایسا لگتا ہے جدائی کی گھڑی آ گئی دوست
بارش سنگ کا موسم ہے مرے شہر میں تو
تو یہ شیشے سا بدن لے کے کہاں آ گئی دوست
میں اسے عہد شکن کیسے سمجھ لوں جس نے
آخری خط میں یہ لکھا تھا فقط آپ کی دوست
Yahi Bohat Hai Ke Dil Us Ko Dhoond Laya Hai
Jab Gulstaan Mein Baharon Ke Qadam Aate Hain – Saghar
Aansuo’n Se Dhuli Khushi Ki Tarah – Bashir Badr




