Wasi Shah

Dil Ki Chokhat Pe Jo Ik Deep Jala Rakha Hai – Wasi Shah

Dil Ki Chokhat Pe Jo Ik Deep Jala Rakha Hai
Wasi Shah

Dil Ki Chokhat Pe Jo Ik Deep Jala Rakha Hai
Tere Laut Aane Ka Imkaan Saja Rakha Hai

Saans Tak Bhi Nahin Lete Hain Tujhe Sochte Waqt
Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hai

Rooth Jaate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho
Hum Ne Ye Soch Ke Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai

Tum Jise Rota Hua Chhod Gaye The Ik Din
Hum Ne Us Shaam Ko Seene Se Laga Rakha Hai

Chain Lene Nahin Deta Ye Kisi Toor Mujhe
Teri Yaadon Ne Jo Toofan Utha Rakha Hai

Jaane Wale Ne Kaha Tha Ke Woh Lautay Ga Zaroor
Ik Ussi Aas Pe Darwaza Khula Rakha Hai

Tere Jaane Se Jo Ik Dhool Uthi Thi Gham Ki
Hum Ne Us Dhool Ko Aankhon Mein Basa Rakha Hai

Mujh Ko Kal Shaam Se Woh Yaad Bahut Aane Laga
Dil Ne Muddat Se Jo Ik Shakhs Bhula Rakha Hai

Aakhri Baar Jo Aaya Tha Mere Naam Wasi
Main Ne Us Khat Ko Kaleje Se Laga Rakha Hai

Dil Ki Chokhat Pe Jo Ik Deep Jala Rakha Hai

 

دل کی چوکھٹ پہ جو اک دیپ جلا رکھا ہے
تیرے لوٹ آنے کا امکان سجا رکھا ہے

سانس تک بھی نہیں لیتے ہیں تجھے سوچتے وقت
ہم نے اس کام کو بھی کل پہ اٹھا رکھا ہے

روٹھ جاتے ہو تو کچھ اور حسیں لگتے ہو
ہم نے یہ سوچ کے ہی تم کو خفا رکھا ہے

تم جسے روتا ہوا چھوڑ گئے تھے اک دن
ہم نے اس شام کو سینے سے لگا رکھا ہے

چین لینے نہیں دیتا یہ کسی طور مجھے
تیری یادوں نے جو طوفان اٹھا رکھا ہے

جانے والے نے کہا تھا کہ وہ لوٹے گا ضرور
اک اسی آس پہ دروازہ کھلا رکھا ہے

تیرے جانے سے جو اک دھول اٹھی تھی غم کی
ہم نے اس دھول کو آنکھوں میں بسا رکھا ہے

مجھ کو کل شام سے وہ یاد بہت آنے لگا
دل نے مدت سے جو اک شخص بھلا رکھا ہے

آخری بار جو آیا تھا مرے نام وصیؔ
میں نے اس خط کو کلیجے سے لگا رکھا ہے

وصی شاہ

 

Gulon Si Guftagu Karein Qayamaton Ke Darmiyan – Ada Jafarey
Sabab Woh Pooch Rahe Hain Udaas Hone Ka – Rahat Indori
Yeh Dhoop Kinara, Shaam Dhale (Lyrics) – Faiz Ahmad Faiz

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *