
Hazaar Ranj Sar Aankhon Pe, Baat Hi Kya Hai
Teri Khushi Ke Tasadduq, Meri Khushi Kya Hai
Khuda Bachaye Teri Mast Mast Aankhon Se
Farishta Ho To Behak Jaye, Aadmi Kya Hai
Guzar Doon Tere Gham Mein Jo Umar-e-Khizr Mile
Tere Nisar, Ye Do Din Ki Zindagi Kya Hai
Bhari Bahaar Kahan, Aur Qafas Kahan Sayyaad
Samajh Mein Aaj Ye Aaya, Ke Bebasi Kya Hai
Woh Aur Hain Jo Talabgaar-e-Khuld Hain Waiz
Nigaah-e-Yaar Salamat, Mujhe Kami Kya Hai
Khare Hue Hain Woh Kab Se Nazar Jhukaye Hue
Khumaar Hosh Mein Aao, Ye Bekhudi Kya Hai
ہزار رنج سر آنکھوں پہ بات ہی کیا ہے
تِری خوشی کے تصدّق، مِری خوشی کیا ہے
خُدا بچائے تِری مست مست آنکھوں سے
فرشتہ ہو تو بہک جائے، آدمی کیا ہے
گزُار دُوں تِرے غم میں، جو عمرِ خضرمِلے
تِرے نِثار، یہ دو دِن کی زندگی کیا ہے
بَھری بہار کہاں، اور قفس کہاں صیّاد
سمجھ میں آج یہ آیا، کہ بے بَسی کیا ہے
وہ اور ہیں جو طلب گارِ خُلد ہیں واعظ
نگاہِ یار سلامت، مُجھے کمی کیا ہے
کھڑے ہوئے ہیں وہ کب سے نظر جُھکائے ہُوئے
خمار ہوش میں آؤ، یہ بے خُودی کیا ہے
خمار بارہ بنکوی
Ghazal – Charagh-e-Raah Bujha Kya, Ke Rehnuma Bhi Gaya
Yeh Baat Samajh Mein Aayi Nahi – Ahmad Hatib Siddiqi
Ghazal – Thahar Thahar Ke Khudara Kalaam Keejiye Naa




