Nasir Kazmi

Jab Raat Gaye Teri Yaad Aayi – Nasir Kazmi Ghazal

جب رات گئے تری یاد آئی سو طرح سے جی کو بہلایا - ناصر کاظمی

Jab Raat Gaye Teri Yaad Aayi – Nasir Kazmi Ghazal

 

Jab Raat Gaye Teri Yaad Aayi, Sau Tarah Se Jee Ko Behlaya
Kabhi Apne Hi Dil Se Baatein Kīn, Kabhi Teri Yaad Ko Samjhaya

Yun Hi Waqt Gunwaya Moti Sa, Yun Hi Umar Gunwai Sona Si
Sach Kehte Ho Tum Hamsakhano, Is Ishq Mein Hum Ne Kya Paaya

Jab Pehle Pahal Tujhe Dekha Tha, Dil Kitne Zor Se Dharka Tha
Woh Leher Na Phir Dil Mein Jaagi, Woh Waqt Na Laut Ke Phir Aaya

Phir Aaj Tere Darwaze Par, Bari Der Ke Baad Gaya Tha Magar
Ek Baat Achanak Yaad Aayi, Main Bahar Hi Se Laut Aaya

جب رات گئے تری یاد آئی سو طرح سے جی کو بہلایا
کبھی اپنے ہی دل سے باتیں کیں کبھی تیری یاد کو سمجھایا

یوں ہی وقت گنوایا موتی سا یوں ہی عمر گنوائی سونا سی
سچ کہتے ہو تم ہم سخنو اس عشق میں ہم نے کیا پایا

جب پہلے پہل تجھے دیکھا تھا دل کتنے زور سے دھڑکا تھا
وہ لہر نہ پھر دل میں جاگی وہ وقت نہ لوٹ کے پھر آیا

پھر آج ترے دروازے پر بڑی دیر کے بعد گیا تھا مگر
اک بات اچانک یاد آئی میں باہر ہی سے لوٹ آیا

 

Hazaar Ranj Sar Aankhon Pe, Baat Hi Kya Hai – Ghazal
Ab Tak Nah Khul Saka Ke Mere Rubaru Hai Kaun – Urdu Poetry
Mere Junoon Ka Nateeja Zaroor Nikle Ga

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *