
Dastoor-e-Mohabbat Ka Sikhaya Nahi Jaata
Purnam Allahabadi
Dastoor-e-Mohabbat Ka Sikhaya Nahi Jaata
Yeh Aisa Sabaq Hai Jo Parhaya Nahin Jaata
Kamsin Hain Woh Aise Unhein Zalim Kahoon Kaise
Masoom Pe Ilzaam Lagaya Nahin Jaata
Aaina Dikhaya To Kaha Aaina Rukh Ne
Aaine Ko Aaina Dikhaya Nahin Jaata
Kya Chhed Hai Aanchal Se Gulistaan Mein Saba Ki
Un Se Rukh-e-Roshan Ko Chhupaya Nahin Jaata
Hairat Hai Ke Mai Khane Mein Jaata Nahin Zahid
Jannat Mein Musalman Se Jaaya Nahin Jaata
Ab Maut Hi Le Jaaye To Le Jaaye Yahan Se
Koochay Se Tere Hum Se To Jaaya Nahin Jaata
Is Darja Pashemaan Mera Qaatil Hai Ke Us Se
Mahshar Mein Mere Saamne Aaya Nahin Jaata
Parnam Gham-e-Ulfat Mein Tum Aansoo Na Bahao
Is Aag Ko Paani Se Bujhaya Nahin Jaata
دستور محبت کا سکھایا نہیں جاتا
یہ ایسا سبق ہے جو پڑھایا نہیں جاتا
کمسن ہیں وہ ایسے انہیں ظالم کہوں کیسے
معصوم پہ الزام لگایا نہیں جاتا
آئینہ دکھایا تو کہا آئینہ رخ نے
آئینے کو آئینہ دکھایا نہیں جاتا
کیا چھیڑ ہے آنچل سے گلستاں میں صبا کی
ان سے رخ روشن کو چھپایا نہیں جاتا
حیرت ہے کہ مے خانے میں جاتا نہیں زاہد
جنت میں مسلمان سے جایا نہیں جاتا
اب موت ہی لے جائے تو لے جائے یہاں سے
کوچے سے ترے ہم سے تو جایا نہیں جاتا
اس درجہ پشیماں مرا قاتل ہے کہ اس سے
محشر میں مرے سامنے آیا نہیں جاتا
پرنمؔ غم الفت میں تم آنسو نہ بہاؤ
اس آگ کو پانی سے بجھایا نہیں جاتا
Jab Raat Gaye Teri Yaad Aayi – Nasir Kazmi Ghazal
Hum Khwabon Ke Beopari The – Ahmad Faraz
Kitaab Saada Rahegi Kab Tak – Full Poetry



