
Yeh Hadsa Mujhe Hairan Kar Gaya Sar Shaam
Jo Zakhm Subah Mila Tha Woh Bhar Gaya Sar Shaam
Mile The Hum Kahin Kaar E Jahan Ke Mele Mein
Use Bhi Jaldi Thi Aur Main Bhi Ghar Gaya Sar Shaam
Yeh Aaj Kis Ko Achanak Mera Khayal Aaya
Chiraag Raah Mein Yeh Kaun Dhar Gaya Sar Shaam
Khayal E Yaar Ki Fursat Bhi Ab Kise Hai Naseeb
Yeh Phool Subah Khila Aur Bikhar Gaya Sar Shaam
Tamaam Din Ki Thakan Se Main Bujh Raha Tha Magar
Kisi Ki Yaad Ka Chehra Nikhar Gaya Sar Shaam
Shab E Firaaq Ka Ahwaal Yaad Aa Hi Gaya
Phir Ek Teer Sa Dil Mein Utar Gaya Sar Shaam
Yeh Subah O Shaam Mere Is Qadar Hi Mere Hain
Ke Jee Utha Hoon Sahar Dam To Mar Gaya Sar Shaam
یہ حادثہ مجھے حیران کر گیا سر شام
جو زخم صبح ملا تھا وہ بھر گیا سر شام
ملے تھے ہم کہیں کار جہاں کے میلے میں
اسے بھی جلدی تھی اور میں بھی گھر گیا سر شام
یہ آج کس کو اچانک مرا خیال آیا
چراغ راہ میں یہ کون دھر گیا سر شام
خیال یار کی فرصت بھی اب کسے ہے نصیب
یہ پھول صبح کھلا اور بکھر گیا سر شام
تمام دن کی تھکن سے میں بجھ رہا تھا مگر
کسی کی یاد کا چہرہ نکھر گیا سر شام
شب فراق کا احوال یاد آ ہی گیا
پھر ایک تیر سا دل میں اتر گیا سر شام
یہ صبح و شام مرے اس قدر ہی میرے ہیں
کہ جی اٹھا ہوں سحر دم تو مر گیا سر شام
پیرزادہ قاسم




