
Hijr Ke Haath Se Ab Khaak Pare Jeene Mein
Poet: Bahadur Shah Zafar
Hijr Ke Haath Se Ab Khaak Pare Jeene Mein
Dard Ek Aur Utha Aah Naya Seene Mein
Khoon Dil Peene Se Jo Kuch Hai Halaawat Hum Ko
Yeh Maza Aur Kisi Ko Nahin Mai Peene Mein
Dil Ko Kis Shakal Se Apne Na Musaffa Rakhun
Jalwa Gar Yaar Ki Soorat Hai Is Aaine Mein
Ashk O Lakht E Jigar Aankhon Mein Nahin Hain Mere
Hain Bhare Laal O Gohar Ishq Ke Ganjeene Mein
Shakal Aaina Zafar Se To Na Rakh Dil Mein Khayaal
Kuch Maza Bhi Hai Bhala Jaan Meri Lene Mein
ہجر کے ہاتھ سے اب خاک پڑے جینے میں
درد اک اور اٹھا آہ نیا سینے میں
خون دل پینے سے جو کچھ ہے حلاوت ہم کو
یہ مزا اور کسی کو نہیں مے پینے میں
دل کو کس شکل سے اپنے نہ مصفا رکھوں
جلوہ گر یار کی صورت ہے اس آئینے میں
اشک و لخت جگر آنکھوں میں نہیں ہیں میرے
ہیں بھرے لال و گہر عشق کے گنجینے میں
شکل آئینہ ظفرؔ سے تو نہ رکھ دل میں خیال
کچھ مزا بھی ہے بھلا جان مری لینے میں
Mohabbatoun Mein Har Ek Lamha Wisaal Ho Ga Yeh Tay Hua Tha
Tay Kar Na Saka Zeest Ke Zakhmon Ka Safar Bhi – Mohsin Naqvi
Achhi Hai Doston Se Shikayat Kabhi Kabhi (Adeem Hashmi)




