Ghazal

Yahan Darakht Thay Saya Tha Kuch Dinon Pehle – Urdu Ghazal

یہاں درخت تھے سایہ تھا کچھ دنوں پہلے - سعید الزماں عباسی

Yahan Darakht Thay Saya Tha Kuch Dinon Pehle – Urdu Ghazal

Yahan Darakht Thay Saya Tha Kuch Dinon Pehle
Ajeeb Khwaab Sa Dekha Tha Kuch Dinon Pehle

Yeh Kya Hua Ke Ab Apna Bhi Aitbaar Nahin
Humein To Sab Ka Bharosa Tha Kuch Dinon Pehle

Humare Khoon Rag E Jaan Ki Laalah Kaari Se
Jo Aaj Baagh Hai Sehra Tha Kuch Dinon Pehle

Usi Ufuq Se Naya Aftaab Ubhrey Ga
Jahan Chiraagh Jalaya Tha Kuch Dinon Pehle

Abhi Qareeb Se Guzra Hai Ajnabi Ki Tarah
Woh Ek Shakhs Jo Apna Tha Kuch Dinon Pehle

Jinhein Dareeda Dahan Keh Ke Hont Seete Ho
Unhein Sukhan Ka Saleeqa Tha Kuch Dinon Pehle

یہاں درخت تھے سایہ تھا کچھ دنوں پہلے
عجیب خواب سا دیکھا تھا کچھ دنوں پہلے

یہ کیا ہوا کہ اب اپنا بھی اعتبار نہیں
ہمیں تو سب کا بھروسا تھا کچھ دنوں پہلے

ہمارے خون رگ جاں کی لالہ کاری سے
جو آج باغ ہے صحرا تھا کچھ دنوں پہلے

اسی افق سے نیا آفتاب ابھرے گا
جہاں چراغ جلایا تھا کچھ دنوں پہلے

ابھی قریب سے گزرا ہے اجنبی کی طرح
وہ ایک شخص جو اپنا تھا کچھ دنوں پہلے

جنہیں دریدہ دہن کہہ کے ہونٹ سیتے ہو
انہیں سخن کا سلیقہ تھا کچھ دنوں پہلے

 

Mohabbatoun Mein Har Ek Lamha Wisaal Ho Ga Yeh Tay Hua Tha
Tum Se Pehle Woh Jo Ek Shakhs Yahan Takht Nasheen Tha
Baab-E-Hairat Se Mujhe Izn-E-Safar Hone Ko Hai – Parveen Shakir

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *