
Sada Paon Mein Beeri Haathon Mein Zanjeer Dekhi Hai – Ghazal
Sada Paon Mein Beeri Haathon Mein Zanjeer Dekhi Hai
Wafa Daran E Ulfat Ki Yehi Taqdeer Dekhi Hai
Karen Noha Parhein Kyun Marsiya Aah O Baka Kyun Ho
Woh Zinda Hain Unhi Ki Dahr Mein Tanveer Dekhi Hai
Mahal Masmaar Ho Kar Bhi Saqafat Zinda Rakhte Hain
Jabeen E Sang Par Hum Ne Yehi Tahreer Dekhi Hai
Sabhi Ko Zindagi Pyari Hai Lekin Is Tarah Jeena
Nawaalon Ke Liye Aksar Ghalat Tadbeer Dekhi Hai
Duaen Wasl Ki Maangi Woh Aaye Hain Dam E Naz’a
Ajab Taqdeer Dekhi Hai Ajab Taseer Dekhi Hai
Khuli Aankhon Se Hum Ne Bhi Khushi Ke Khwab Dekhe Thay
Magar Monis Bigarti Baarha Tabeer Dekhi Hai
سدا پاؤں میں بیڑی ہاتھوں میں زنجیر دیکھی ہے
وفاداران الفت کی یہی تقدیر دیکھی ہے
کریں نوحہ پڑھیں کیوں مرثیہ آہ و بکا کیوں ہو
وہ زندہ ہیں انہیں کی دہر میں تنویر دیکھی ہے
محل مسمار ہو کر بھی ثقافت زندہ رکھتے ہیں
جبین سنگ پر ہم نے یہی تحریر دیکھی ہے
سبھی کو زندگی پیاری ہے لیکن اس طرح جینا
نوالوں کے لئے اکثر غلط تدبیر دیکھی ہے
دعائیں وصل کی مانگی وہ آئے ہیں دم نزع
عجب تقدیر دیکھی ہے عجب تاثیر دیکھی ہے
کھلی آنکھوں سے ہم نے بھی خوشی کے خواب دیکھے تھے
مگر مونسؔ بگڑتی بارہا تعبیر دیکھی ہے
Vairaana-e-Wujood Mein Chalna Pada Humein
Tum Se Pehle Woh Jo Ek Shakhs Yahan Takht Nasheen Tha
Hairaan Hoon Ke Ye Kaun Sa Dastoor-E-Wafa Hai




