
Jab Bhi Yeh Dil Udaas Hota Hai – Gulzar Poetry
Jab Bhi Yeh Dil Udaas Hota Hai
Jaane Kaun Aas Paas Hota Hai
Aankhein Pehchaanti Hain Aankhon Ko
Dard Chehra Shanaas Hota Hai
Go Barasti Nahin Sada Aankhein
Abr To Baara Maas Hota Hai
Chhaal Pedon Ki Sakht Hai Lekin
Neeche Naakhun Ke Maas Hota Hai
Zakhm Kehte Hain Dil Ka Gehna Hai
Dard Dil Ka Libaas Hota Hai
Das Hi Leta Hai Sab Ko Ishq Kabhi
Saanp Mouqa Shanaas Hota Hai
Sirf Itna Karam Kiya Keeje
Aap Ko Jitna Raas Hota Hai
جب بھی یہ دل اداس ہوتا ہے
جانے کون آس پاس ہوتا ہے
آنکھیں پہچانتی ہیں آنکھوں کو
درد چہرہ شناس ہوتا ہے
گو برستی نہیں سدا آنکھیں
ابر تو بارہ ماس ہوتا ہے
چھال پیڑوں کی سخت ہے لیکن
نیچے ناخن کے ماس ہوتا ہے
زخم کہتے ہیں دل کا گہنہ ہے
درد دل کا لباس ہوتا ہے
ڈس ہی لیتا ہے سب کو عشق کبھی
سانپ موقع شناس ہوتا ہے
صرف اتنا کرم کیا کیجے
آپ کو جتنا راس ہوتا ہے
Udaas Shaam Ki Aik Nazm – Noshi Gilani
Ek Chand Tanha Khara Raha – Urdu Poetry
Khuda Woh Waqt Na Laye – Faiz Ahmad Faiz
Ab Udas Phirte Ho Sardiyon Ki Shamon Mein




