
Tay Kar Na Saka Zeest Ke Zakhmon Ka Safar Bhi
Mohsin Naqvi
Tay Kar Na Saka Zeest Ke Zakhmon Ka Safar Bhi
Haalankeh Mera Dil Tha Shagofa Bhi Sharar Bhi
Utra Na Garebaan Mein Muqaddar Ka Sitara
Hum Log Lutaate Rahe Ashkon Ke Gahar Bhi
Haq Baat Pe Katti Hain To Katne Do Zabaanen
Jee Lenge Mere Yaar Ba Andaaz E Digar Bhi
Hairaan Na Ho Aaina Ki Tabinda Faza Par
Aa Dekh Zara Zakhm E Kaf E Aaina Gar Bhi
Sookhe Hue Patton Ko Udaane Ki Hawas Mein
Aandhi Ne Giraye Kai Sar Sabz Shajar Bhi
Woh Aag Jo Phaili Mere Daaman Ko Jala Kar
Us Aag Ne Phonka Mere Ahbaab Ka Ghar Bhi
Mohsin Yunhi Badnaam Hua Shaam Ka Malboos
Haalankeh Lahoo Rang Tha Daaman E Sehar Bhi
طے کر نہ سکا زیست کے زخموں کا سفر بھی
حالانکہ مِرا دِل تھا شگوفہ بھی شرر بھی
اُترا نہ گریباں میں مقدر کا ستارا
ہم لوگ لٹاتے رہے اشکوں کے گہر بھی
حق بات پہ کٹتی ہیں تو کٹنے دو زبانیں
جی لیں گے مِرے یار باندازِ دگر بھی
حیراں نہ ہو آئینہ کی تابندہ فضاپر
آ دیکھ ذرا زخمِ کفِ آئینہ گر بھی
سوکھے ہوئے پتوں کو اُڑانے کی ہوس میں
آندھی نے گِرائے کئی سر سبز شجر بھی
وہ آگ جو پھیلی میرے دامن کو جلا کر
اُس آگ نے پھونکا میرے احباب کا گھر بھی
محسن یونہی بدنام ہوا شام کا ملبوس
حالانکہ لہو رنگ تھا دامانِ سحر بھی
Woh Aks-e-Mauj-e-Gul Tha – Parveen Shakir
Hairaan Hoon Ke Ye Kaun Sa Dastoor-E-Wafa Hai – Ghazal
Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha – Adeem Hashmi




