
Hum Karen Baat Daleelon Se To Rad Hoti Hai
ہم کریں بات دلیلوں سے تو رد ہوتی ہے
اس کے ہونٹوں کی خموشی بھی سند ہوتی ہے
سانس لیتے ہوئے انساں بھی ہیں لاشوں کی طرح
اب دھڑکتے ہوئے دل کی بھی لحد ہوتی ہے
جس کی گردن میں ہے پھندا وہی انسان بڑا
سولیوں سے یہاں پیمائش قد ہوتی ہے
شعبدہ گر بھی پہنتے ہیں خطیبوں کا لباس
بولتا جہل ہے بد نام خرد ہوتی ہے
کچھ نہ کہنے سے بھی چھن جاتا ہے اعجاز سخن
ظلم سہنے سے بھی ظالم کی مدد ہوتی ہے
Hum Karen Baat Daleelon Se To Rad Hoti Hai
Us Ke Honton Ki Khamoshi Bhi Sanad Hoti Hai
Saans Lete Hue Insaan Bhi Hain Lashon Ki Tarah
Ab Dharkte Hue Dil Ki Bhi Lahd Hoti Hai
Jis Ki Gardan Mein Hai Phanda Wohi Insaan Bada
Solioun Se Yahan Paimaish Qad Hoti Hai
Shabidah Gar Bhi Pehante Hain Khateebon Ka Libaas
Bolta Jahil Hai Bad Naam Khurd Hoti Hai
Kuch Na Kehne Se Bhi Chhan Jaata Hai Ijaz Sukhan
Zulm Sahne Se Bhi Zaalim Ki Madad Hoti Hai
Ab Yeh Aalam Hai Ke Gham Ki Bhi Khabar Hoti Nahi
Ab Tak Nah Khul Saka Ke Mere Rubaru Hai Kaun
Kisi Bashar Mein Hazaar Khaami Agar Jo Dekho – Iftikhar Iffi



