
Aashiqui Be Dili Se Mushkil Hai
Ahmad Faraz Poetry
Aashiqui be dili se mushkil hai
Phir mohabbat usi se mushkil hai
Ishq aagaaz hi se mushkil hai
Sabr karna abhi se mushkil hai
Hum Ko Aasaan hain aur humare liye
Dushmani dosti se mushkil hai
Jis ko sab bewafa samajhate hon
Bewafaai usi se mushkil hai
Ek ko dusre se sahel na jaan
Har koi har kisi se mushkil hai
Tu bazid hai to jaa ‘faraz’ magar
Waapasi us gali se mushkil hai
عاشقی بے دلی سے مشکل ہے
پھر محبت اسی سے مشکل ہے
عشق آغاز ہی سے مشکل ہے
صبر کرنا ابھی سے مشکل ہے
ہم کو آساں ہیں اور ہمارے لیے
دشمنی دوستی سے مشکل ہے
جس کو سب بے وفا سمجھتے ہیں
بے وفائی اُسی سے مشکل ہے
ایک کو دوسرے سے سہل نہ جان
ہر کوئی ہر کسی سے مشکل ہے
تو بضد ہے تو جا فراز مگر
واپسی اس گلی سے مشکل ہے
Read More:
Mirza Ghalib Poetry – Rahat Indori Poetry – Jaun Elia Poetry – Bashir Badr Poetry