
Un Ke Ek Jaan Nisar Hum Bhi Hain – Dagh Dehlvi
Un Ke Ek Jaan Nisar Hum Bhi Hain
Hain Jahaan So Hazaar Hum Bhi Hain
Tum Bhi Be Chain Hum Bhi Hain Be Chain
Tum Bhi Ho Be Qarar Hum Bhi Hain
Ae Falak Keh To Kya Iraada Hai
Aish Ke Khwaastgaar Hum Bhi Hain
Kheench Laaye Ga Jazb-E-Dil Un Ko
Hama Tan Intezaar Hum Bhi Hain
Bazm-E-Dushman Mein Le Chala Hai Dil
Kaise Be Ikhtiyaar Hum Bhi Hain
Sheher Khaali Kiye Dukaan Kaisi
Ek Hi Baadah Khaar Hum Bhi Hain
Sharm Samjhe Tere Taghaful Ko
Waah Kya Hoshiyaar Hum Bhi Hain
Haath Hum Se Milaao Ae Moosa
Aashiq Rooy-E-Yaar Hum Bhi Hain
Khwahish Baadah-E-Tohoor Nahin
Kaise Parhezgaar Hum Bhi Hain
Tum Agar Apni Goon Ke Ho Mashooq
Apne Matlab Ke Yaar Hum Bhi Hain
Jis Ne Chaaha Phansa Liya Hum Ko
Dilbaron Ke Shikaar Hum Bhi Hain
Aayi Mai Khane Se Ye Kis Ki Sada
Lao Yaaron Ke Yaar Hum Bhi Hain
Le Hi To Le Gi Dil Nigaah Teri
Har Tarah Hoshiyaar Hum Bhi Hain
Idhar Aa Kar Bhi Fateha Parh Lo
Aaj Zair-E-Mazaar Hum Bhi Hain
Ghair Ka Haal Poochhiye Hum Se
Us Ke Jalse Ke Yaar Hum Bhi Hain
Kaun Sa Dil Hai Jis Mein Daagh Nahin
Ishq Mein Yaadgaar Hum Bhi Hain
ان کے اک جاں نثار ہم بھی ہیں
ہیں جہاں سو ہزار ہم بھی ہیں
تم بھی بے چین ہم بھی ہیں بے چین
تم بھی ہو بے قرار ہم بھی ہیں
اے فلک کہہ تو کیا ارادہ ہے
عیش کے خواست گار ہم بھی ہیں
کھینچ لائے گا جذب دل ان کو
ہمہ تن انتظار ہم بھی ہیں
بزم دشمن میں لے چلا ہے دل
کیسے بے اختیار ہم بھی ہیں
شہر خالی کئے دکاں کیسی
ایک ہی بادہ خوار ہم بھی ہیں
شرم سمجھے ترے تغافل کو
واہ کیا ہوشیار ہم بھی ہیں
ہاتھ ہم سے ملاؤ اے موسیٰ
عاشق روئے یار ہم بھی ہیں
خواہش بادۂ طہور نہیں
کیسے پرہیزگار ہم بھی ہیں
تم اگر اپنی گوں کے ہو معشوق
اپنے مطلب کے یار ہم بھی ہیں
جس نے چاہا پھنسا لیا ہم کو
دلبروں کے شکار ہم بھی ہیں
آئی مے خانے سے یہ کس کی صدا
لاؤ یاروں کے یار ہم بھی ہیں
لے ہی تو لے گی دل نگاہ تری
ہر طرح ہوشیار ہم بھی ہیں
ادھر آ کر بھی فاتحہ پڑھ لو
آج زیر مزار ہم بھی ہیں
غیر کا حال پوچھئے ہم سے
اس کے جلسے کے یار ہم بھی ہیں
کون سا دل ہے جس میں داغؔ نہیں
عشق میں یادگار ہم بھی ہیں
Hairaan Hoon Ke Ye Kaun Sa Dastoor-E-Wafa Hai – Ghazal
Aag Lehraa Ke Chal Rahe Ho Ise Aanchal Kar Do – Bashir Badr




