Ahmad Nadeem Qasmi

Andaaz Ho Bahu Teri Aawaaz Paa Ka Tha – Ghazal

انداز ہو بہو تری آواز پا کا تھا - احمد ندیم قاسمی

Andaaz Ho Bahu Teri Aawaaz Paa Ka Tha

Andaaz Ho Bahu Teri Aawaaz Paa Ka Tha
Dekha Nikal Ke Ghar Se To Jhonka Hawa Ka Tha

Is Husn-E-Ittefaq Pe Lut Kar Bhi Shaad Hoon
Teri Raza Jo Thi Woh Taqaaza Wafa Ka Tha

Dil Raakh Ho Chuka To Chamak Aur Barh Gayi
Ye Teri Yaad Thi Ke Amal Keemiya Ka Tha

Is Rishta-E-Lateef Ke Asraar Kya Khulen
Tu Saamne Tha Aur Tasawwur Khuda Ka Tha

Chhup Chhup Ke Roon Aur Sar-E-Anjuman Hansoon
Mujh Ko Ye Mashwara Mere Dard Aashna Ka Tha

Utha Ajab Tazaad Se Insaan Ka Khameer
Aadi Fana Ka Tha To Pujaari Baqa Ka Tha

Toota To Kitne Aaina Khano Pe Zad Padi
Atka Hua Gale Mein Jo Pathar Sada Ka Tha

Hairaan Hoon Ke Vaar Se Kaise Bacha Nadeem
Woh Shakhs To Ghareeb O Ghayoor Intiha Ka Tha

انداز ہو بہو تری آواز پا کا تھا
دیکھا نکل کے گھر سے تو جھونکا ہوا کا تھا

اس حسن اتفاق پہ لٹ کر بھی شاد ہوں
تیری رضا جو تھی وہ تقاضا وفا کا تھا

دل راکھ ہو چکا تو چمک اور بڑھ گئی
یہ تیری یاد تھی کہ عمل کیمیا کا تھا

اس رشتۂ لطیف کے اسرار کیا کھلیں
تو سامنے تھا اور تصور خدا کا تھا

چھپ چھپ کے روؤں اور سر انجمن ہنسوں
مجھ کو یہ مشورہ مرے درد آشنا کا تھا

اٹھا عجب تضاد سے انسان کا خمیر
عادی فنا کا تھا تو پجاری بقا کا تھا

ٹوٹا تو کتنے آئنہ خانوں پہ زد پڑی
اٹکا ہوا گلے میں جو پتھر صدا کا تھا

حیران ہوں کہ وار سے کیسے بچا ندیمؔ
وہ شخص تو غریب و غیور انتہا کا تھا

 

Hairaan Hoon Ke Ye Kaun Sa Dastoor-E-Wafa Hai – Ghazal
Kisi Ke Dukh Ko Zarurat Thi Pardah Poshi Ki – Sajid Raheem
Bastiyan Dhoondh Rahi Hain Unhein Veeranon Mein – Firaq

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *