
Khayaal Jis Ka Tha Mujhe, Khayaal Mein Mila Mujhe
Munir Niazi
Khayaal Jis Ka Tha Mujhe, Khayaal Mein Mila Mujhe
Sawaal Ka Jawaab Bhi Sawaal Mein Mila Mujhe
Gaya To Is Tarah Gaya Ke Muddaton Nahi Mila
Mila Jo Phir To Yun Ke Woh Malaal Mein Mila Mujhe
Tamaam Ilm-e-Zeest Ka Guzashtagaan Se Hi Hua
Amal Guzashta Daur Ka Misal Mein Mila Mujhe
Nihaal Sabz Rang Mein Jamaal Jis Ka Hai Muneer
Kisi Qadeem Khwaab Ke Mahaal Mein Mila Mujhe
خیال جس کا تھا مجھے خیال میں ملا مجھے
سوال کا جواب بھی سوال میں ملا مجھے
گیا تو اس طرح گیا کہ مدتوں نہیں ملا
ملا جو پھر تو یوں کہ وہ ملال میں ملا مجھے
تمام علم زیست کا گزشتگاں سے ہی ہوا
عمل گزشتہ دور کا مثال میں ملا مجھے
نہال سبز رنگ میں جمال جس کا ہے منیرؔ
کسی قدیم خواب کے محال میں ملا مجھے
Baab-E-Hairat Se Mujhe Izn-E-Safar Hone Ko Hai – Parveen Shakir
Aag Lehraa Ke Chal Rahe Ho Ise Aanchal Kar Do – Bashir Badr
Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha – Adeem Hashmi




