
Rog Aise Bhi Gham-e-Yaar Se Lag Jaate Hain
Ahmed Faraz Poetry
Rog Aise Bhi Gham-e-Yaar Se Lag Jaate Hain
Dar Se Uthte Hain To Deewaar Se Lag Jaate Hain
Ishq Aaghaz Mein Halki Si Khalish Rakhta Hai
Baad Mein Sainkron Aazaar Se Lag Jaate Hain
Pehle Pehle Hawas Ek Aadh Dukaan Kholti Hai
Phir To Bazaar Ke Bazaar Se Lag Jaate Hain
Be-Basi Bhi Kabhi Qurbat Ka Sabab Banti Hai
Ro Na Paayen To Gile Yaar Se Lag Jaate Hain
Katranen Gham Ki Jo Galiyon Mein Uri Phirti Hain
Ghar Mein Le Aao To Anbaar Se Lag Jaate Hain
Daagh Daman Ke Hon, Dil Ke Hon Ke Chehre Ke Faraz
Kuch Nishaan Umr Ki Raftaar Se Lag Jaate Hain
روگ ایسے بھی غمِ یار سے لگ جاتے ہیں
در سے اُٹھتے ہیں تو دیوار سے لگ جاتے ہیں
عشق آغاز میں ہلکی سی خلش رکھتا ہے
بعد میں سینکڑوں آزار سے لگ جاتے ہیں
پہلے پہلے ہوس اک آدھ دکاں کھولتی ہے
پھر تو بازار کے بازار سے لگ جاتے ہیں
بے بسی بھی کبھی قربت کا سبب بنتی ہے
رو نہ پائیں تو گلے یار سے لگ جاتے ہیں
کترنیں غم کی جو گلیوں میں اڑی پھرتی ہیں
گھر میں لے آؤ تو انبار سے لگ جاتے ہیں
داغ دامن کے ہوں، دل کے ہوں کہ چہرے کے فرازؔ
کچھ نشاں عمر کی رفتار سے لگ جاتے ہیں
In Sahme Hue Shehron Ki Faza Kuch Kehti Hai – Nasir Kazmi
Dastoor-e-Mohabbat Ka Sikhaya Nahi Jaata – Purnam Allahabadi
Jab Gulstaan Mein Baharon Ke Qadam Aate Hain – Saghar

![Paar Chanan De Disse Kuli Yaar Di [Lyrics]](https://kalaamgah.com/wp-content/uploads/2025/10/Paar-Chanan-De-390x220.jpg)


