
Yaad Nahi Kya Kya Dekha Tha – Ghazal
یاد نہیں کیا کیا دیکھا تھا سارے منظر بھول گئے
اس کی گلیوں سے جب لوٹے اپنا بھی گھر بھول گئے
خوب گئے پردیس کے اپنے دیوار و در بھول گئے
شیش محل نے ایسا گھیرا مٹی کے گھر بھول گئے
تجھ کو بھی جب اپنی قسمیں اپنے وعدے یاد نہیں
ہم بھی اپنے خواب تری آنکھوں میں رکھ کر بھول گئے
مجھ کو جنھوں نے قتل کیا ہے کوئی انہیں بتلائے نذیرؔ
میری لاش کے پہلو میں وہ اپنا خنجر بھول گئے
نظیر باقری
Yaad Nahi Kya Kya Dekha Tha, Saare Manzar Bhool Gaye
Us Ki Galiyon Se Jab Lautay, Apna Bhi Ghar Bhool Gaye
Khoob Gaye Pardes Ke Apne Deewaar-o-Dar Bhool Gaye
Sheesh Mahal Ne Aisa Gheira, Mitti Ke Ghar Bhool Gaye
Tujh Ko Bhi Jab Apni Kasmein, Apne Waade Yaad Nahi
Hum Bhi Apne Khwab Teri Aankhon Mein Rakh Kar Bhool Gaye
Mujh Ko Jin Hon Ne Qatl Kiya Hai, Koi Unhein Batlaaye Nazir
Meri Laash Ke Pehlu Mein Woh Apna Khanjar Bhool Gaye
— Nazir Baqri




