Jagjit Singh

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi – Lyrics – Jagjit Singh

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi – Lyrics 

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi, Kabhi Ashk Aankh Se Dhal Gaye
Yeh Tumhare Gham Ke Chiraagh Hain, Kabhi Bujh Gaye Kabhi Jal Gaye

Main Khayaal-o-Khwaab Ki Mehfilen Na Baqadr-e-Shoq Saja Saka
Teri Ek Nazar Ke Saath Hi Mere Sab Iraade Badal Gaye

Kabhi Rang Mein, Kabhi Roop Mein, Kabhi Chhaon Mein, Kabhi Dhoop Mein
Kahin Aaftaab Nazar Hain Woh, Kahin Mahtaab Mein Dhal Gaye

Jo Fana Hue Gham-e-Ishq Mein Unhein Zindagi Ka Na Gham Hua
Jo Na Apni Aag Mein Jal Sake, Woh Parai Aag Mein Jal Gaye

Tha Unhein Bhi Meri Tarah Junoon, To Phir Un Mein Mujh Mein Yeh Farq Kyun
Main Girift-e-Gham Se Na Bach Saka, Woh Hudood-e-Gham Se Nikal Gaye

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi – Lyrics in Urdu

کبھی آہ لب پہ مچل گئی کبھی اشک آنکھ سے ڈھل گئے
یہ تمہارے غم کے چراغ ہیں کبھی بجھ گئے کبھی جل گئے
میں خیال و خواب کی محفلیں نہ بقدرِ شوق سجا سکا
تیری ایک نظر کے ساتھ ہی میرے سب ارادے بدل گئے
کبهی رنگ میں کبهی روپ میں کبھی چھاؤں میں کبھی دھوپ میں
کہیں آفتاب نظر ہیں وہ کہیں مہتاب میں ڈھل گئے
جو فنا ہوئے غمِ عشق میں انہیں زندگی کا نہ غم ہوا
جو نہ اپنی آگ میں جل سکے وہ پرائی آگ میں جل گئے
تھا انہیں بھی میری طرح جنون تو پھر ان میں مجھ میں یہ فرق کیوں
میں گرفتِ غم سے نہ بچ سکا وہ حدودِ غم سے نکل گئے
رشید کامل

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *