
Yahan Har Shakhs Har Pal Haadisa Hone Se Darta Hai
Yahan Har Shakhs Har Pal Haadisa Hone Se Darta Hai
Khilona Hai Jo Mitti Ka, Fana Hone Se Darta Hai
Mere Dil Ke Kisi Kone Mein Ek Masoom Sa Bachcha
Badon Ko Dekh Kar Duniya, Bara Hone Se Darta Hai
Na Bas Mein Zindagi Us Ke, Na Qaabu Maut Par Us Ka
Magar Insaan Phir Bhi Kab Khuda Hone Se Darta Hai
Ajab Yeh Zindagi Ki Qaid Hai, Duniya Ka Har Insaan
Rihai Maangta Hai Aur Raha Hone Se Darta Hai
یہاں ہر شخص ہر پل حادثہ ہونے سے ڈرتا ہے
کھلونا ہے جو مٹی کا فنا ہونے سے ڈرتا ہے
مرے دل کے کسی کونے میں اک معصوم سا بچہ
بڑوں کی دیکھ کر دنیا بڑا ہونے سے ڈرتا ہے
نہ بس میں زندگی اس کے نہ قابو موت پر اس کا
مگر انسان پھر بھی کب خدا ہونے سے ڈرتا ہے
عجب یہ زندگی کی قید ہے دنیا کا ہر انساں
رہائی مانگتا ہے اور رہا ہونے سے ڈرتا ہے
Dekh Letay Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai – Urdu Ghazal
Chaman Mein Rang Bahaar Utra To Main Ne Dekha
Bheer Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga – Amjad Islam Amjad




